Friday, April 26, 2024
HomeSliderIran. America kasheedgi ke bawajood Iraq apni khud mukhtari par zor day:...

Iran. America kasheedgi ke bawajood Iraq apni khud mukhtari par zor day: France

Baghdad: Francesi sadar Emmanuel Macron ney apne pehlay Baghdad ke doray par Iraqi rehnumao se mulaqaat ki jahan unhoun ney is baat par zor diya ke jung se dochar mulk Iraq ko Iran aur America kasheedgi mein phas jane ke bawajood apni khudmukhtaari par zor dena chahiye.

Bohraan se mutasir Lebanon ke do roza safar se seedhay Iraq pounchanay ke baad France ke sadar Macron May mein Wazeer e Azam Mustafa al-Kadhimi ke iqtidaar mein anay ke baad Iraq ka dora karne walay sab se numaya rehnuma hain. France ke sadar ke dora Iraq ka maqsad mulk ki khudmukhtaari ke amal ki himayat ke liye aqwam mutahidda ke shana bashanh ek pehal shuru karna hai.

Unhoun ne apne Iraqi hum mansab Barham Salih ki himayat mein aawaz uthai ke aur kaha ke woh Daesh group ke Sleeper cells se ladnay aur ghair mulki mudakhilat ke khilaaf muzahmat mein madad karen ge. Macron ne kaha Iraq kayi saal se jung aur dehshat gardi ke sath sath mutadid ghair mulki mdakhilaton ki wajah se ek mushkil waqt se guzar raha hai. Aap ki qayadat mulk mein ek tabdeeli hai. Is mauqa par France aap ke shana bashanh hoga taakay aalmi baradri madad kar sakay.

Iraqi ohdedaron nay kaha ke woh nai maali ya fouji imdaad ki tawaqqa nahi kar rahay hain. Sadar Salih nay kaha ke woh 2021 mein Macron ke taweel doray ke muntazir hain aur inhen umeed hai ke France aur Europe majmoi tor par khittay mein istehkaam ki bahaali mein madad kar saktay hain.

Iraqi Wazeer e Azam nay kaha ke hum mahaaz aarayyon ka maidan nahi balkay istehkaam aur aitdaal pasandi ka ek zone ban-na chahtay hain. Unhoun nay mazeed kaha ke France aur Iraq mustaqbil mein tawanai ke muahidon par dastakhat karen ge aur fouji taawun ko mazeed gehra karen ge. Macron nay kaha ke Iraqi jinhen bohat ziyada nuqsaan uthana pada hai, Ilaqai taqaton ya intahaa pasandon ke tasallut ke ilawa bhi ikhtiyarat ke mustahiq hain.

macron ne kaha ke Daesh ke khilaaf jung khatam nahi hui hai, Yahan taq ke agar unhune kuch ilaaqon mein paspaai hui hai. Daesh ke khilaaf jung, Jo France ne bain ul aqwami ittehaad ke hissay ke tor par poori terhan se sarmaya kaari ki hai, Jari rahay ga. Dosra challenge mutadid nakaat se ghair mulki mudakhilat hai, Jo Iraq mein se kuch saal se jari hai aur kuch haliya dinon mein samnay aayi hai. France iqtisadi, Fouji, Taleemi aur saqafati shobo mein Iraq ko mustahkam karne ke mansoobay ki mukammal himayat karta hai aur usay Iraqi khud mukhtaari ka mansoobah qarar dete hain.

 

Macron ney Iraq pounchanay ke baad Twit kiya ke mein Baghdad aaya hon, Jis ka mujhe pehli baar dora karne par khoshi hai, Challenges ke waqt Iraq ke liye apni himayat ka muzahira karna. Unhoun ney kaha ke dakhli aur khittay mein muashi aur salamti ke lehaaz se tamam jahton mein Iran aur America kasheedgi ke bawajood Iraq ki khudmukhtaari ki zamanat ke liye mutadid challenges hain.