Sunday, May 19, 2024
HomeSliderIran aman koshisho ka hissa nahi ban sakta: Yemen

Iran aman koshisho ka hissa nahi ban sakta: Yemen

Dubai: Yemen ke wazeer it-tila-aat Muammar Al-Iryani ney kaha ke Iran khittay mein ghair mustahkam sar garmion ki wajah se mulk mein aman ke qiyam mein madad nahi karsaktha. Muammar Al-Iryani ka yeh tabsarah Yemen mein aqwam mutahidda ke Martin Griffiths Ali Asghar Khaji se mulaqaat ke baad kiya gaya hai jo Iran ke wazeer kharja ke senior muawin hain.

Martin Griffiths ne Ali Asghar Khaji ke sath apni guftagu ko tameeri qarar diya. Unhoun ne mazeed kaha hai ke mein ne aaj Iran ke FM Ali Asghar Khaji ke senior muawin ke sath aik bohat hi tameeri mulaqaat ki. Aqwam mutahidda ke mandoob ne kaha ke hum ne mukl geer jung bandi taq pounchanay ki koshisho aur Yemen mein siyasi amal ko dobarah shuru karne ke liye sazgaar mahol peda karne ke baaray mein tabadlah khayaal kiya. Muammar Al-Iryani ne kaha yeh tabsarah Yemen mein aman ko ghair mustahkam karne aur usay padosi reyaston par hamla karne aur samandari behri khatrah bananay ke liye istemaal karne mein Iran ke kardar ku nazar andaz karta hai.

Haal hi mein Arab ittihadi afwaj nay Yemen mein do hafton ke liye mukammal jung bandi ka elaan kiya tha. Jung bandi ka elaan coronavirus ki wajah se peda honay walay bohraan ke paish-e-nazar kiya gaya. Saudi press agency ke mutabiq Arab ittihadi afwaj ke tarjuman colonel Turkey Al-Malki nay kaha ke Yemen mein jung bandi do do haftay ke liye nafiz kar di gayi hai. Jung bandi mein halaat ke paish-e-nazar towsee ki ja sakti hai. Unhoun nay kaha hai ke jung bandi sirf yemeni qoum ke liye ki gayi hai. Tawaqqa karte hain ke Houthi baaghi bhi jung bandi ki tajweez qubool karen ge.