Saturday, May 10, 2025
HomeIndiaIqtisadi sust ravi par hukoomat ki khamoshi intehai khatarnaak hai : Priyanka...

Iqtisadi sust ravi par hukoomat ki khamoshi intehai khatarnaak hai : Priyanka Gandhi

New Delhi : Congress ki general Secretary Priyanka Gandhi  nay jumeraat ko iqtisadi sustravi par Modi hukoomat ki khamoshi ko intehai khatarnaak qarar dete hue kaha ke bahanay baazi aur bayan baazi is iqtisadi sustrawi ka hal nahi hai.

Priyanka Gandhi  nay Tweet karke kaha ke ”kasad-bazari ki rozana khabrein aur is par BJP hukoomat ki khamoshi dono hi khatarnaak hain. is hukoomat ke paas nah to koi hal hai aur nah hi woh mulk ke shehrion ko yaqeen dilanay ka ikhtiyar rakhtay hain. mehez bahanay, bayan baazi aur afwahoun se kaam nahi chalega.

Yeh pehli baar nahi hai jab congress rehnuma Priyanka Gandhi  nay hukoomat par hamla kiya ho, balkay is se qabal. Priyanka nay khawateen par muzalm, badhti qeematoun aur deegar kayi umoor par hukoomat par tanqeedi hamla kiya tha. –YTN STAFF