Friday, May 17, 2024
HomeTrending NewsIqama fees mein kami aur jurmane maaf karne ki tajweez

Iqama fees mein kami aur jurmane maaf karne ki tajweez

Dubai: Dubai ewaan tijarat ney Iqama Fees mein kami, Jurmanoun ki mansuhi, Value Added Tax mein 2 feesad aur bijli-o-pani bil mein 50 feesad kami ki tajweez di hai. Dubai ewaan sanat-o-tijarat ney tajweez di ke value added tax ya to 2 feesad tak kam kardiya jaye ya tax ki adaigi 2020 ke aakhir tak multawi kar di jaye. Tafseelaat ke mutabiq ewaan tijarat ney mojooda marhalay ke liye tameeri iqtisadi Schemes tayyar karne ke liye wasee ul bunyad iqtisadi council tashkeel dainay ka mutalba kiya hai. Awaan ney kaha hai ke custom duty neez pani, Bijli-o-khidmaat fees 2020 ke aakhir tak 50 feesad tak kam kardi jaye.

Dubai ewaan sanat-o-tijarat ne khangi idaroun ki taraf se mojooda aalmi bohraan se nimatnay ke liye 15 tajaweez Sheikh Ahmed Bin Saad Al Maktoum ko pesh ki hain. Wo Dubai council mein muashi dhaaray ki islaah par mamoor idaray ke sarbarah hain. Dubai ewaan tijarat ne jo tajaweez pesh ki hain un mein ahem tareen ye hain. Sarkari idaray aur is ke mate-hat companian thekay daaroun, Samaan daraamad karne walay taajiroun aur mustahaq afraad ko muqarara budget ki qestin jald az jald ada karen.

Hadd se ziyada ghair mulki amlay ko watan wapas bheejwane mein companiyoun ki madad ki jaye. Ghair mulki workers ki be dakhli ke akhrajaat ke liye fund faraham kiye jayen. Tijarti License ke ijra aur towsee ki fees 2020 tak ya to mansookh kar di jaye ya 50 feesad tak kam kar di jaye. Dubai mein kaam karne walay tamam idaroun par muqarrar market fees 2.5 feesad 2020 ke aakhir tak moattal kar di jaye. Custom duty 2020 ke aakhir tak 50% tak kam kar di jaye.

Pani bijli aur khidmaat fees 50% tak kam kar di jaye. Value added tax kam karkay ya to 2 feesad kardiya jaye ya adaigi 2020 ke aakhir tak multawi kar di jaye aur companiyoun ki cash position behtar bananay ke liye is hawalay se tamam jurmane khatam kardiye jayen. Iqama fees kam kar di jaye. Jin logoun ke Iqama khatam hogaye hon un mein towsee kar di jaye. Jin ke Iqama mansookh hogaye hon wo bhi saal rawan ke aakhir tak badha diye jayen. Is hawalay se tamam jurmane mansookh kardiye jayen.

Iqama se mutaliq sahoolat sarmaya karoun, Aam afraad aur un ke khandanoun sab ko di jaye. 2020 ke aakhir tak wifaqi-o-reyasti khilaaf warzyuon par muqarrar tamam jurmane mansookh kardiye jayen. Dukanoun ke kirayoun ke muahiday kisi shart ya jurmane ke baghair mansookh karne ki ijazat di jaye. Airports, Bandargahen aur bari sarhadi chokyan baraamdaat ke liye khol di jayen. Mojooda marhalay se mutaliq tameeri iqtisadi Schemes wazay karne ke liye wasee alubnyad iqtisadi council ya sarkari faisla sazoon aur sarmaya karoun par mushtamil committee qaim ki jaye.