Tuesday, May 21, 2024
HomeSliderIPL ke aaghaz ke sath hi shehar ke medanon ki ronaqai

IPL ke aaghaz ke sath hi shehar ke medanon ki ronaqai

Hyderabad: Corona bohraan ki wajah se saari duniya mein lockdown kardiya gaya tha lekin guzashta chand mahino se zindagi mamool ki taraf rawan dawaan hai jis ke asraat Sports ki sar garmion par wazeh muratab hue hain kyunkay jab March ke mahinay mein Hindustan mein lockdown kiya gaya tha to khelon ke maidan weerani ka shikaar hogaye thay aur Hyderabad ke baday medanon ke ilawa gali kochoon mein mojood maidan bhi weerani ki daastaa’n bayan kar rahay thay lekin hafta ko Mutahidda Arab Emarat mein Indian Premier League ( IPL ) ke 13 we Addition ke aaghaz ke sath hi Hyderabadi nojawanon ne bhi kaseer tadaad mein medanon ka rukh karliya hai yeh hi wajah hai ke is itwaar ko dono shehron ke medanon mein Cricket ke deewano ki kaseer tadaad maojood thi.

Secunderabad mein mojood Sikh village Ground jo ke muqami nojawanon mein Lords ke naam se mashhoor hai yahan bhi cricket ki sargarmia apne sabiq dinon ki simt lout chuki hai. Is maidan par muqami teamon ke darmiyan Cricket ke muqablay itwaar ko pabandi ke sath khailay jatay hain aur Lockdown ke baad ab kayi teamon ne is maidan ka rukh karliya hai.

Lockdown ki wajah se kayi ek teamon mein kayi naye chehray bhi shaamil hue hain kyunkay corona ki wajah se hanooz kayi khiladion ne maidan ka rukh nahi kiya hai. Darin asna Media numainday se izhaar khayaal karte hue Sonnet Team mein apne Career ka pehla muqaabla khailnay walay Sanatnagar ke nojawan fast bowler Mohammad Aamir jinhon ne apni barq-e raftaar bowling se hareef team Thunder Cricket Club ke Top order ko tehass nehass kardiya, Kaha ke corona ke douran ghar se niklana mushkil tha taham wabai marz ke khilaaf qowat mudafat ko mustahkam karne ke liye jismani werzish aur khail bhi laazmi hai is liye ab nojawan khiladi medanon ka rukh kar chukay hain

Yaad rahay ke Mohammad Aamir ne Sonnet Team ke liye apne pehlay hi muqablay mein tofani bowling ka muzahira kiya aur apne 4 overs ke kota mein sirf 16 runs day kar 5 khiladion ko out kiya. Is muqablay mein ibtidayi nuqsanaat ke bawajood Thunder Cricket Club ne 8 wickets ke nuqsaan se 121 runs banaye. Jawabi inning mein Sonnet team 101 runs par All Out hogayi.