Saturday, May 4, 2024
HomeSportsIPL 2020 mansookh nahi huwa : Ganguly

IPL 2020 mansookh nahi huwa : Ganguly

Kalkata: Hindustani cricket control board mulk mein Indian Premier League ( IPL ) ke saal 2020 Addition ke ineqad ke har tareeqay par sanjidgi ke sath ghhor o khos kar rahi hai is mein IPL ko khaali Stadiums mein munaqqid karwana bhi shaamil hai. Hindustani cricket control board ( BCCI ) ke sadar Sourav Ganguly ne khiladioun sameit tamam mutaleqeen ko ishara diya hai ke Indian Premier League ( IPL ) mansookh nahi huwa hai aur is ke 13 we Addition ke ineqad ki umeed roshan hai. Ganguly ne kaha ke corona waba ke bawajood is moattal muqaabla ke ineqad ke liye tamam ikhtiyarat par ghhor kiya ja raha hai. Ganguly ne bain ul aqwami cricket council ( ICC ) board ke ijlaas ke baad reyasti Association ku ye khat arsaal kiya hai jis mein ye tajweez hai ke BCCI ke sadar IPL ke ineqad ke liye pur-umeed hain.

Hindustan mein COVID-19 wabai bemari ke sabab ab tak 8000 se ziyada afraad faut ho chukay hain aur yahi wajah hai ke IPL ko ghair muayana muddat ke liye multawi kardiya gaya tha. Ganguly ne likha ke BCCI is saal IPL Event ke liye har mumkin tareeqay par kaam kar rahi hai jis mein khaali Stadium mein khelna bhi shaamil hai aur agar hamein band darwazoun ( khaali Stadium ) ke andar bhi IPL karwana hai to hum is ka ihtimaam karenge. Unhoun ne kaha ke shaiqeen, Franchising, Khiladi, Broadcaster, Sponser aur tamam mutaleqeen rawan saal IPL ke ineqad ke imkaan ke khwaahan hain. Sabiq captain ne kaha ke haal hi mein Hindustan aur IPL mein hissa lainay walay dosray mumalik ke khiladioun ne is saal ke IPL ka hissa ban’nay ki be taabi ka muzahira kiya. Hum IPL event ke baarey mein pur-umeed hain aur BCCI jald hi faisla legi. Ye qiyaas aaraiyan ki jarahi hain ke agar T20 world Cup pehlay se tey shuda schedule ke mutabiq Australia mein nahi hota hai to is waqt IPL ka ineqad ho sakta hai.

ICC ney World Cup ke mustakbil se mutaliq faislay ko aindah mah tak multawi kardiya hai. Ganguly ney ye bhi kaha ke BCCI domestic Cricket ke schedule par bhi kaam kar rahi hai. Is ke sath hi Ranji Trophy, Dilip Trophy aur Vijay hazare Trophy jaisay Tournament masabaqti aur amli rahay. Unhoun ney kaha ke BCCI aglay cricket Season ke liye domestic muqabloun ke mansooboun ki tayari mein hai. Hum apni taraf se mukhtalif ikhtiyarat aur shakloun par kaam kar rahay hain taakay ye yakeeni banaya jasakay ke mukhtalif Domestic tournament masabaqti rahen aur un mein shirkat aasaan ho. G Board ke sadar ne ye bhi bataya ke BCCI tamam reyasti akaeyo mein cricket ki bahaali ke liye mayaari operating tareeqakar tayyar kar raha hai taakay is mein mulawis afraad ki tibbi hifazat ko yakeeni banaya jasakay. Ganguly ne reyasti Association ko bataya ke BCCI ne apne mukhtalif members se har qisam ke funds aur grant jari karne ke liye apni poori koshish ki hai. Rawan saal 29 March ko Hindustan mein IPL ka aaghaz hona tha lekin corona ki waba ki wajah se ghair muayana muddat tak ke liye multawi karna pada.