Friday, May 3, 2024
HomeHyderabadIntikhabi Rallies mein mask ghayab, kiya Hyderabad lockdown ki simt badh raha...

Intikhabi Rallies mein mask ghayab, kiya Hyderabad lockdown ki simt badh raha hai ?

Hyderabad: Hyderabad mein GHMC intikhabaat ke liye honay wali Rallies aur road shows ke masail par pehlay hi awam pareshan thay kyunkay iske zahir masail mein traffic jaam hona, shor o ghul se sooti aloodgi qabil zikar hain to doosri janib awaami ijtima se corona ke mareezon ki tadaad mein izafah ka posheeda masla awam mein ek qisam ka khauf paeda kar raha hai aur ab election commission ne bhi apni tashweesh ka izhaar kardiya hai.

Corona virus ke phailav par qaboo panay ke liye chehray par mask istemaal nah karne ki soorat mein hazaar rupiye ka jurmana Ayad kiya gaya tha lekin intikhabi Rallies ke douran aisa mehsoos hota hai jaisay mask ka yeh faisla wapas le liya gaya ho. Jahan siyasi leadron aur unke sath Rallies mein shirkat karne walay mask ka istemaal nahi kar rahay hain to doosri janib ohdedaron mein bhi is qanoon par sakhti se awam ko amal karwanay mein koi khaas dilchaspi deekhaee nahi day rahi hai.

Hindustan bhar mein corona se nimatnay ke liye markazi hukoomat waqfa waqfa se jo rehnumaiyana khutoot jari kar rahi un mein mask ka istemaal aur samaji faasla ki barqarari ko awleen tarjeeh di jarahi hai lekin hyderabad intikhabaat mein usay yaksar nazar andaaz kiya ja raha hai. Delhi hukoomat ne corona ke mareezon mein izafa ke paish e nazar mask ke Adam istemaal par chalaan ko ek hazaar se barha kar 2000 rupiye kardiya hai. Telangana mein lock dawn ke douran agarchay ek hazaar rupiye chalaan ke ehkamaat barqarar thay lekin is waqt bhi awam ne mask ke istemaal mein kotahi se kaam liya. ab jabkay greater hyderabad municipal corporation ( GHMC ) ki intikhabi muhim urooj par hai to tamam siyasi jamaaton ne corona qawaid ko baalaye taaq rakh diya hai. muhim ke douran mehloon mein jagah jagah pad yaatra, aam jalson aur road show ke mauqa par awam ka hujhoom dikhayi day raha hai lekin mask ke istemaal aur samaji faasla ki kisi ko parwah nahi. Mehakma sehat ke ohdedaron ne intikhabi muhim ke douran corona qawaid ki khilaaf warzi par hukoomat ko aagah karte hue sakhti se nifaz ka mashwara diya hai. Doosri taraf reyasti election commission ne intikhabi muhim mein qawaid ki khilaaf warzi par tashweesh ka izhaar karte hue umeedwaron aur siyasi jamaaton ko corona qawaid par amal aawri ki hidaayat di hai.

Hyderabad mein sorat e haal ka tajzia kiya jaye to bakhuba andaza hojata hai ke awam o khawaas ko corona se nijaat mil chuki hai. wazraa, arkaan parliment, arkaan assembly, siyasi qaideen intikhabi muhim mein sadkon par hain lekin ahteyati tadabeer ka kisi ko khayaal nahi. Ohdedar bhi khilaaf watzion par ankhen band kar chuke hain inhen bas apni kamyabi ki fikar hai. chief minister KCR ne doosri lehar ka andesha zahir karte hue awam ko choksi ki hidaayat di hai aur intibah diya ke awam ahthyat karen warna lock down ke alawa dosra koi rasta nahi rahayga.

Police ki janib se corona qawaid ki khilaaf warzi karne walon ko challans ke baray mein ikhtiyarat diye gaye lekin khud police mulazmeen ko mask ke istemaal ke baghair bandobast per dekha jaraha hai. Telangana mein majmoi cases ke 40 feesad se zayed greater hyderabad mein paye jatay hain lekin ahteyati tadabeer ke maamla mein hyderabad kaafi peechay hai.