Thursday, May 2, 2024
HomeIndiaInternet par pabandi se companiyon ko rozaanh 82 lakh Dollars ka nuqsaan

Internet par pabandi se companiyon ko rozaanh 82 lakh Dollars ka nuqsaan

Hyderabad: Hindustan mein shehriat ke qanoon mein mutanazia tarmeem ke khilaaf jari pur-tashaddud ehtajaji muzahiroun se jahan aalmi satah par Hindustan ki badnami horahee hai aur mulk mein musalmanoun ko dosre darjay ke shehri bananay ki koshish horahee to wahein is ke manfi asraat mulk ki maeeshat par bhi zahir ho rahay hain.

Un muzahiroun ki wajah se Hindustan mein Mobile Phone companiyon ko rozana takreeban 82 lakh Dollars ka nuqsaan horaha hai, Kyunkay inhen hukoomat ki hidayat par Internet band karna par raha hai. Shehriat ke qanoon mein tarmeem ke khilaaf shuru hue pur tashadud ehtijaj ka daira har naye roz phialta ja raha hai. Assam, Bengal aur Delhi se hota huva ye ehtijaj Hindustan ke karobari markaz samjhay jaanay walay shehar Mumbai tak poanch chuka hai aur ye silsila abhi rukta nazar nahi aata.

Guzashta 2 haftoun ke douran muzahiroun mein halaak honay waloun ki tadaad 27 ke qareeb poanch chuki hai, Darjanoun afraad zakhmi hue hain aur senkdoun afraad ko giraftar kiya ja chuka hai. Mulk ke mutadid shehroun mein Internet aur mobile services band kardi gayi hain aur hazaroun ki tadaad mein security forces tainaat ki gayi hain.

YFP ke mutabiq yahan tak ke aqwam mutahidda aur America bhi is sorat e haal par tashweesh ka izhaar kar rahay hain. Naqideen ne kaha hai ke Wazeer e Azam Narendra Modi ki hukoomat Hinndotwa ko parwan chadha rahi hai aur ye tarmeem Muslim mukhalif hai. Hukoomat muzahiroun par qaboo panay aur is tehreek ko dabanay ke liye Internet ko band kar rahi hai taakay loog social media par mutharrak nah hosaken. Azaadi izhaar ke liye sargaram tanzeemen hukoomat ke is iqdaam par tanqeed kar rahi hain.

Hindustan mein Telecom Industry se wabsta zaraye ne kaha ke jummay ko Uttar Pradesh ke 18 azlaa mein Internet ko band kar diya gaya tha. Mulk mein cellular operators association ka kehna hai ke sab se pehlay Internet ko band nahi karna chahiye. Association ke ke Director General Rajan Mathews ne kaha ke hum ne is bandish se honay walay nuqsaan ka andaza lagaya hai aur hamaray hisaab ke mutabiq ek ghantay ke liye Internet khidmaat band karne se hamein teen lakh 50 hazaar Dollars ka nuqsaan horaha hai.

Khayaal rahay ke Kashmir ki khusoosi hesiyat tabdeel karne ke baad wahan Internet khidmaat ko bhi guzashta 4 mah mein band rakha hai jis se mobile phone companiyon ko nuqsaan ka saamna karna pad raha hai. Internet ke hoqooq ke liye kaam karne wali tanzeem Access Now ne kaha hai ke kisi jamhoori mulk mein Internet par lagai jaanay wali ye sab se taweel pabandi hai. –YTN STAFF