Sunday, May 5, 2024
HomeSliderIntermediate ke nisaab mein 30 feesad kami

Intermediate ke nisaab mein 30 feesad kami

Hyderabad: Telangana State Board Of Intermediate Education ( TSBIE ) ne rawan taleemi saal ke Intermediate Course ke nisaab mein 30 feesad kami kar di hai. Yeh iqdaam is waqt samnay aaya hai jab Covid-19 wabai amraaz ki wajah se kayi karobari din zaya hogaye hain.

TSBIE ne mazameen ke liye maahir Committee tashkeel di hain aur Committees ki tajaweez ki bunyaad par board ne nisaab mein kami ki hai. Misaal ke tor par Central Board Of Secondary Education ( CBSE ) ke khutoot par Science Stream ke nisaab ko kam kiya gaya hai aur deegar mazameen ke liye Board ne aisay anwanat aur asbaq ko hata diya hai jo ahem nahi hain.

Science Streams mein, CBSE aur Humanities aur deegar Course ke liye ki jane wali tabdeelion ke mutabeq nisaab ko kam kardiya gaya hai jo asbaq ghair ahem hain aur jin ka taleem par koi assar nahi padta hai inhen khatam kardiya gaya.

Ek Senior ohdedar ne kaha hai ke majmoi tor par pehlay aur dosray saal ke dono Courses mein har mazmoon mein 30 feesad nisaab ko kam kiya gaya hai.

Taleemi saal 21-2020 ke liye jari kardah taleemi Taqweem ke mutabeq 16 April 2021 ko aakhri working day hoga aur colleges ke liye jumla kaam ke 182 din darj hain. Guzashta taleemi saal mein, Colleges mein kul 222 karobari din thay. Chunkay kaam ke kayi din zaya ho chukay hain is liye ab nisaab mein kami kar di gayi hai. Board ke is iqdaam se talba aur asatezaa par yaqeenan boojh kam hoga.

Is waqt junior Colleges daur darshan aur T-CET Net Work Channels ke zareya Online Classes munaqqid kar rahay hai. Nisaab mein honay wali tabdeelian jald hi tamam junior colleges mein bhi bhaij di jayen gi. Ohdedar ne mazeed kaha nisaab mein mujawaza tabdeelian hukoomat ko arsaal kar di gayeen hain aur agar woh manzoor hojati hai to nazar sani shuda nisaab jari kardiya jaye ga. BIE ne Intermediate Public emtehanaat 24 March se 12 April tak aur aglay saal May ke aakhri haftay mein Advance Supplementary imtehanaat munaqqid karne ka faisla kiya hai.