Tuesday, May 7, 2024
HomeSliderIntermediate ke 3 May se imtehanaat mutawaqqa, nakaam talba ko taraqqi dainay...

Intermediate ke 3 May se imtehanaat mutawaqqa, nakaam talba ko taraqqi dainay ka bhi mansoobah

Hyderabad: Board of intermediate education ( BIA) 1st feb se shuru honay walay taqreeban 68 din tak classes ke liye ek taleemi mansoobay par ghour kar raha hai jis mein intermediate public imtehanaat ( IPA ) ka ineqad mumkina tour par 3 May se honge.

Jaisa ke reyasti hukoomat ne faisla kya hai junior collegeon samait tamam taleemi idaray 1st feb se classes ke liye dobarah khuleinge aur yeh classes April ke aakhir tak jari rahenge jiske baad IPE hongi. IPE se pehlay practical imtehanaat munaqqid karega.

Isi zimn mein mehakma taleem ke hukkaam ne kaha hai ke hum 1st feb se shuru honay wali classon ke liye 68 kaam ke dinon ka mansoobah bana rahay hain. is ke baad May mein imtehanaat honge. talba ko bhi amli imtehanaat ke liye haazir hona padega.

Junior college jab dobarah khul jayen to dosray saal ke talba ke liye ek din aur aglay din pehlay saal ke talba ke liye classon ka mansoobah banaya ja raha hai. collegeon ko class rooms mein chay foot jismani faasla yakeeni banana hai iske alawa fi bench mein ek taalib-e-ilm hoga aur ek class mein sirf 30 se zayed talba ke baethnay ki bhi hidaayat di gayi hai.

BIE ne pehlay hi ek taleemi calendar diya hai jis mein 1st September 2020 se lekar 30 April 2021 tak ka programme hai aur ab is mein towsee May ke aakhri haftay tak kar di jayegi. Covid19 wabai marz ke paish-e-nazar intermediate ke talba ke liye T-sat net work channels aur doordarshan ke zareya online aur digital classes ka ineqad kiya ja raha hai. Nisaab ka ek bada hissa pehlay hi mukammal hochuka hai aur prinicples ko hidaayat di gayi hai ke woh baqaida classon ki kushadgi ke baad baqi nisaab mukammal karen. Jaisa ke pehlay faisla kiya gaya hai, Imtehanaat ke tarz mein koi tabdeeli nahi hogi.

Nakaam talba ko taraqqi di jayegi kyunkay board of intermediate education March 2020 mein intermediate public imtehanaat mein shirkat karne aur nakam honey walay pehlay saal ke tamam talba ko kam se kam kamyabi ke nishanaat day kar kamyab karne ka mansoobah bana raha hai. Board ke zareya ek tajweez tayyar ki jarahi hai jisay manzoori ke liye reyasti hukoomat ko bheja jayega jis se pehlay saal ke taqreeban 1. 92 laakh talba ko faida hosakta hai jo March 2020 mein imtehanaat mein nakaam hue hain.