Tuesday, May 7, 2024
HomeSliderIntermediate imtehanaat ka 1st may ko aaghaz, parcha subah 9 baje taa...

Intermediate imtehanaat ka 1st may ko aaghaz, parcha subah 9 baje taa 12 hoga

Hyderabad: Telangana ke wazeer-e-taleem Sabitha Indra reddy ne aaj elan kiya ke board of intermediate (BIE) ke awaami imtehanaat 1st May se honge.

Jari honay walay schedule ke mutabiq Intermediate ke pehlay saal ke imtehanaat 1st May se 19 May ke darmiyan hon ge. Intermediate dosray saal ke liye imtehanat 2 May se 20 May tak hon ge. Imthehaan ke auqaat subah 9 baje se dopehar 12 baje honge. Protocol imtehanaat 7 April se 20 April tak honge. Isi tarhan ikhlaqiaat aur insani eqdaar ka imthehaan 1st april ko aur maholiyati taleem ka imthehaan 3 april ko liya jayega. har saal march ke mahinay mein imtehanaat munaqqid kiye jatay hain taham is martaba corona bohran aur wabai amraaz ki wajah se imtehanaat ko taqreeban 2 mah ke liye multawi kardiya gaya hai.

Collegeon aur schools mein 9 win aur 10 win jamaat ke classes ka 1st feb se aaghaz kiya jaraha hai jiske liye tamam tar tayyariyan mukammal karli gayi hain. Is zimn mein pehlay hi mutaliqa ohdedaron ko hidaayat jari kardi gayi hain. Wazeer taleem Sabitha indra jinhon ne zilai taleemi ohdedar aur district intermediate education ohdedaron se mulakaatein kee jiske baad kaha ke taqreeban 60 feesad walidain jab 1st feb ko schools ki kushadgi amal mein aayegi to wo apne bachoun ko schools bhejne ke liye razamandi de chuke hai.
Is baat ka iada karte hue ke bachon ke liye jismani haazri laazmi qarar dainay ke koi usool nahi hain, wazeer ne kaha ke taham walidain ki razamandi se hi talba ko school mein dakhlay ki ijazat hogi. Talba walidain ki razamandi ke mutabiq online classon aur jismani class ke darmiyan kisi ka bhi intikhab kar saktay hain.