Saturday, April 20, 2024
HomeSliderInter saal awwal imtehanaat ki taiyari urooj par 25 October ko pehla...

Inter saal awwal imtehanaat ki taiyari urooj par 25 October ko pehla parcha mutawaqqeh

Hyderabad: Wabai marz corona aur us se paida hone wale bohran ki wajeh se inter saal awwal ke salana imtehanaat mansooq kar diye gaye the lekin ab unhe dobara munaqid karne ki taiyariya urooj par hai aur ainda chand dino mein imtehanaat munaqid kiye jayeinge. Is khusoos mein auhdedaro ne taiyariya shuroo kardi hain imtehani marakiz ka qiyam aur tulaba ke liye khusoosi kamre maqtas karne par tawajjeh markooz ki jaarahi hain. Imkan hai ke imtehanaat 25 October taa 2 November munaqid honge.

Is silsile mein auhdedar ne kaha hai ke inter saal awwal ke imtehanaat ke liye 274 imtehani marakiz qayem kiye ja rahe hai. Zilaa ke muqtalif muqamat par 380 sarkari junior colleges maujood hain aur in colleges mein gujishta saal general aur vocational courses mein saal awwal ke tehat 59000 tulaba ne taleem hasil ki aur in tamaam ke liye imtehanaat mein shirkat ki sahulat farahum ki jaeigi. Auhdedar ne mazeed kaha hai ke center ke qiyam ke masle ko khangi colleges intezamiya ko ittela de di gayi hain. Ek hafta ya 10 din qabl hall tickets ki ijrayi ke iqdamat kiye ja rahe hai. Har markaz mein 8 sitting sqads tashkeel diya ja raha hai jabke har markaz par chief suprident officer aur ek departmental officer ko muqarrar kiya jaye.

Daree asnaa khangi marakiz mein in dono ke alawa zayed dipartmen officer khidmat anjaam deinge jiske saath 274 invigilators imtehani marakiz ki nigrani kareinge. Kisi bhi muqaam par qamiyon ke izaale ke liye muassar iqdamat kiye jayeinge. Corona bohran ke paish e nazar tulaba ki hifazat ke har mumkin iqdamat kiye ja rahe hai. Bil khusoos ek bench par ek talib e ilm ko imtehan likhne ka mauqa diya jayeiga aur is masle ko aala auhdedaro se rujoo kar diya gaya hai. Kamre jamat ke alawa furniture ko sanitize kiya jayeiga. Tulaba ke liye mask ka istemal laazim raheiga. Buqaar khansi se mutasira tulaba ko pehle ittela deni hogi jiske baad unke mutalliq iqdamat kiye jayeinge.