Saturday, May 11, 2024
HomeJurmInspector ko zindah jalanay ki koshish ka muqadma, khawateen samait 16 afraad...

Inspector ko zindah jalanay ki koshish ka muqadma, khawateen samait 16 afraad giraftar

Hyderabad: Rachakonda police ne Jawahar nagar inspector P.Bakshpati rao par hamla karne ke ilzaam mein khawateen samait 16 afraad ko qatal karne ke iraday se ek aatish geer madah pheink kar police ohdedar ko aag laga dene walay giraftar afraad par yeh bhi ilzaam hai ke woh Jawahar nagar baldia mein ghairqanooni qabzoun ko hataane ke ehkamaat par amal karne walay deegar ohdedaron par Mirch Powder chidak rahay thay.

Giraftar honay walon mein punam chand Kumawat, nihaal chand, Nirmila kumawat, shanti devi, baal singh, chunnam patel, madan laal, kumwat, yogi kamal nath solanki, om prakash Kumawat, geeta devi aur godavri kumwat shaamil hain.

Police ne kaha hai ke punam chand jawahar nagar municipality mein sarkari araazi ke silsilay mein R. mallesh ki GPA holder hain. haal hi mein collector ne municipal hukkaam ko ek jadeed toilet complex ki taamer ke liye is zameen ko istemaal karne ki ijazat di. pata chala ke 1,500 murabba gaz zameen par punam chand aur rangula Shankar ne ghair qanooni qabza kiya hai. Kuch din pehlay jab ohdedaron ne is jagah ka dora kiya to mulzim ne SIK, SH cello par mirch powder phenka tha.

Iske alawa punam chand aur Shankar rangula ne kamray mein kuch puranay kapray jala kar yeh bawar karwanay ki koshish ki jaisa ke woh khudkushi ki koshish kar rahay hain aur iske baad achanak zabardast sholay buland honay lagey. un manazair ko dekh kar inspector bakshapati ne farz kya ke shayad woh log khatray mein hain aur logon ko bachanay ke iraday se is ne darwaaza khoola. jaisay hi inspector ne darwaaza khoola gaya mulzim nehan chand, shanti devi aur nirmal ne bakshapati aur constable arun par ek aatish geer madah pheink diya aur unhein aag laga di.

Is waqeye mein dono police ohdedar jhulas kar zakhmi hogaye thay. Yeh waqea itna dehshat zada kardainay wala tha jo na qabil-e-bayan hai. Is ka video social media viral hua tha jiske baad awam saktah mein aagaye thay kyunkay vardi mein malbos police ke aala ohdedar ke ko zindah jala dena ko koshish karne walay yeh mulzimin aam awam ke sath kiya kuch nahi kar saktay yeh soch kar awam mein ek khauf paaya ja raha hai.