Monday, April 21, 2025
HomeIndiaInsaaf intiqam ki shakal ikhtiyar karta hai to wo apna ker daar...

Insaaf intiqam ki shakal ikhtiyar karta hai to wo apna ker daar kho deta hai: Chief Justice Bobde

Jodhpur: Chief justice Sharad Arvind Bobde ne haftay ke roz insaaf ke naam par honay wali halakatoun ki muzammat ki hai. Chief Justice ne kaha ”Jab insaaf intiqam ki shakal ikhtiyar karta hai to wo apna ker daar kho deta hai. Chief justice ne ye baat Rajisthan high court ki nai imarat ka iftitah karte hue kahi. Chief justice ne kaha ”Insaf kabhi teez nahi ho sakta. Insaaf ko kabhi intiqam ki shakal nahi lena chahiye.

Chief justice ka ye bayan ek aisay waqt aaya hai, Jab jummay ke roz Telangana mein khatoon veterinary Dr. ki esmatdarri aur qatal mein mulawis 4 mulzimoun ka encounter kiya gaya. Agar chahe ke baday pemanay par awam ne is iqdaam saza ka kher muqaddam kiya hai, Magar police ko mukhtalif goshoun ki tanqeed ka saamna karna pada hai.

Ahem baat ye hai ke Telangana police ne daawa kiya hai ke un par mulzimoun ne hamla kiya tha, Jis ke baad jawabi firing mein mulzim halaak ho gaye. Is muamlay mein,encounter ki tehqiqaat ke liye Supreme court mein darkhwast dair ki gayi hai.

Bobde ne kaha ke ”Hindustand ke adalti nizaam mein buneadi tabdeelian laane ki azhad zaroorat hai. Unhoun ne kaha ”Is mein koi shak nahi hai ke fouj daari adalti nizaam mein ek badi tabdeeli ki zaroorat hai, Muqadmaat nimtane mein itna waqt kyun lagta hai, Is par bhi ghhor karne ki zaroorat hai. –YTN STAFF