Sunday, April 20, 2025
HomeLatest NewsIndore mein Talba ne sab se bada ”Human Capsule “Tashekeel diya, aalmi...

Indore mein Talba ne sab se bada ”Human Capsule “Tashekeel diya, aalmi record ka daawa

Indore :  Wazeer-e-aazam Narendra Modi ke zareya shuru ki jaaney wali aam adwiyaat ke baare mein awam mein shaoor ujagar karwane aur shuru ki gayi ”Swast Bharth“muhim ke farogh ke liye Indore mein ek hazaar pharma talba ney badey paemanay par ”Human Capsule “tashkeel diya.

25 September ko, world pharmacy day ke mauqa par, dr Puneet Dwivedi ki sarbarahi mein ” Modern Institute of Pharmaceutical Sciences talba ke zareya tayyar kardah sab se bada ”Human Capsule “ Guinness book of world record mein shaamil honay ka daawa kiya gaya hai. qabal azeen, Dr Jayanarayanji and Calicut Institutions  ney 8 March 2018 ko kerala ke kannur mein 438 afraad ka record qaim kiya tha.

Mazkoorah ”Human Capsule “ ki tayari ke liye ek hazaar talba mein se 500 talba neelay rang ke aur deegar 500 talba safaid rang ke kapdoun mein they. aur woh istarah khadey hue they ke woh ek badey capsule ki shakal mein nazar aarahe they.

Dr Dwivedi ka daawa hai ke yeh ek naya record hai. India team ke Dr pradip mishra aur Tithi Bhalla  aur Guinness book of world record ke Amrici numainday, dr Diwakar Sukul bhi is mauqa par moujood they.

Dr Dwivedi ney talba ko umomi adwiyaat ki zurori maloomat bhi den. unhon ney kaha ke logon ko yeh batana zurori hai ke branded companiyon ki generic dawaiyon ki qeemat ziyada hai, jabkay ghair Maroof company ke is formula ki qeemat kam hai, lehaza dr aur chemist ziyada munafe kamanay ke liye branded companiyon ki dawaein baichtay hain. lehaza logon ko yeh samjhna zurori hai ke generic adwiyaat ek jaisi hi hain, sirf company mukhtalif hai. –YTN STAFF