Monday, April 29, 2024
HomeSliderIndonesia mein ladkiyoun ki shadi ki Umar 16 se 19 saal karne...

Indonesia mein ladkiyoun ki shadi ki Umar 16 se 19 saal karne ka qanoon Manzoor

Jakarta: Duniya ke sab se baarey muslim abadi walay mulk Indonesia ke parliament ne shadeed tanqeed ke baad ladkiyoun ki shadi ke liye naye qanoon ki manzoori dedi. naye qanoon ke tehat ab Indonesia mein ladkiyoun ki shadi ki qanooni Umar 19 baras hogi jo ke maazi mein 16 baras thi.

Qanoon mein tarmeem se qabal Indonesia mein ladkiyoun ke liye shadi ki Umar ki had 16 baras muqarrar thi lekin agar walidain aur ladki ki razamandi ho to ladkiyan is se kam Umar mein bhi shadian kar sakti theen. Indonesia ka shumaar duniya ke un 10 badey mumalik mein hota hai, jahan ladkiyoun ki kam Umri mein shadian kar di jati hain.

Aqwam-e-mutahidda ke zeli idaray UNICEF ke mutabiq Indonesia mein har chowthi ladki ki shadi unke 18 baras ki Umar ko pohanchanay se qabal kardi jati hai jab ke ek feesad ladkiyoun ki shadi 15 baras ki Umar se qabal hojati hai. Indonesia mein aam tor par zayed mard hazraat ki shadi kam Umar ladkiyoun se ki jati hai, jis wajah se nozaida bachon ki amwaat sameit khawateen ki qabal az waqt amwaat ki sharah mein izafah dekha gaya tha.

Ladkiyoun ki intahai kam Umri mein shadi ki wajah se samaji tanzeemon sameit aalmi idaray bhi Indonesia ki hukoomat par shadeed tanqeed karte rahay hain aur hukoomat se shadi se mutaliq qawaneen ko tabdeel karne ka mutalba kiya jata raha hai. report mein bataya ke Indonesia ke parliament ki janib se jari bayan mein is baat ki tasdeeq ki gayi ke shadi qawaneen mein tabdeel karkay ladkiyoun ke liye shadi ki kam se kam Umar 19 baras kar di gayi hai.

Naye qanoon ki manzoori ke baad ab Indonesia mein ladkiyan bhi ladkoun ki tarhan 19 baras ki Umar se qabal shadi nahi kar sakengi. shadi qawaneen mein is tabdeeli ko child marriage ki rok thaam ke liye ahem samjha jaraha hai, khayaal kiya ja raha hai ke ab mulk mein ladkiyoun ki kam Umri mein shadi ke waqeat mein kami aayegi.

Samaji tanzeemoun ne hukoomat ko ladkoun aur ladkiyoun ke liye shadi ki kam se kam Umar 21 baras rakhnay ki tajweez di thi, taham hukoomat ne dono ke liye 19 baras ki manzoori di.

ladkiyoun ke huqooq aur child marriage ke khatmay ke liye kaam karne wali tanzeemoun ne hukoomat ki janib se shadi qawaneen mein ki jaaney wali tabdeeli ka kher maqdam kiya aur umeed zahir ki hai ke ab Indonesia mein ladkiyoun ki kam Umri mein shadi nahi ki jasakegi. –YTN STAFF