Monday, April 29, 2024
HomeTrending NewsIndonesia mein Corona qawaid ki khilaaf warzi par bet ul khola ki...

Indonesia mein Corona qawaid ki khilaaf warzi par bet ul khola ki safai ki saza

Jakarta: Indonesia mein hukkaam ne Coronavirus ki rokk thaam ke liye waza kardah tareeqakar ki khilaaf warzi karne waloun ko samaji noiyat ki saza dainay ka elaan kiya hai. Hukkaam ne kaha hai ke Corona waba ki wajah se ayed kardah samaji faaslay ke usool ki khilaaf warzi karne walay afraad ko bet ul khula saaf karne ki saza di jayegi. Hukkaam ke bamujab filhal ye saza Jakarta tak mehdood hai. Shehar mein samaji doori ke qaiday ki khilaaf warzi ke murtakib afraad ko bet ul khula saaf karna honge.

Ye saza pabandioun ki ek Series mein se ek hai jis ka maqsad Indonesia ke dar-ul-hukoomat mein Coronavirus ke phelao ko rokna hai. Khayaal rahay ke Jakarta junoob mashriqi Asia ke sab se baday shehroun mein se ek hai. Hukoomat ne kaha hai ke jo loog Mask ke baghair sadkoun par neglenge inhen aarahi hai hazaar rupay ya 17 Dollar jurmana kiya jayega. Samaji doori ka khayaal nah rakhnay walay afraad ko imaartoun mein safai bilkhushoos  bet ul khula saaf karne ki saza di jayegi.

Neez wo Companian jo bandish ke ehkamaat ko nazar andaz karti hain ya sahet aama ke qawaid ki khilaaf warzi karti hain unhein haal hi mein elaan kardah qawaid ke mutabiq 50 Million rupiya ( 3400 Dollar ) jurmana ki shakal mein ada karna hoga. Guzashta mah Indonesia hukkaam ne Jakarta mai Corona ke barhatay khatraat ke pesh e nazar juzwi Lockdown kiya tha. Indonesia ke dosray shehroun mein bhi Lockdown aur pabandiyan ayed ki gayi hain magar un ki khilaaf warzi ki shikayat bhi aam hai. Ta haal Indonesia mein Corona waba ke honay wali amwaat ki tadaad 1007 amwaat aur mutasireen ki 14,479 tak puhanj gayi hai. –YTN STAFF