Sunday, April 20, 2025
HomeSliderIndonesia mein chand naye qawaneen nafiz karne ki tayyariyan

Indonesia mein chand naye qawaneen nafiz karne ki tayyariyan

Jakarta : Duniya mein muslim abadi ke sab se badey mulk Indonesia ne rawan mah ko ladkiyoun ki shadi ke liye naya qanoon Manzoor kiya hai aur ab ek ne qanoon ke nifaz ki tayari horahe hai. naye qanoon ke tehat ab waha ke ladkiyoun ke liye shadi ki kam se kam Umar 19 baras hogi, isse qabal yeh Umar 16 baras thi, taham agar walidain aur ladki raazi hon to 16 saal se pehlay bhi shadi ki jasakti thi.

Ladkiyoun ki shadi ki Umar ke badhaane ke naye qanoon ko samaji tanzeemoun aur khawateen ke huqooq ke liye kaam karne walay idaroun ne saraha tha aur umeed zahir ki thi ke naye qanoon se kam Umri ki shadian roki ja sakengi. ladkiyoun ki shadi ke naye qanoon ki manzoori ke baad Indonesia jald hi ek aur naya qanoon Manzoor karne ja raha hai aur is naye qanoon ko samaji tanzeemen tanqeed ka nishana bana rahi hain.

Indonesia ki siyasi jamaten aur hukoomati arkaan qanoon mein tarmeem karne par razamand hogaye hain aur jald hi tayyar kiye gaye naye qanooni bill ki manzoori ke liye usay assembly mein paish kiya jayega. naye fouj daari qanoon ke bill mein shadi se qabal ladke aur ladkiyoun ke darmiyan jinsi taluqaat ustuwar karne, shadi ke baad kisi dosray se azdawaji taluqaat qaim karne aur hum jins parasti ko mamnoo qarar dainay sameit mulk ke sadar aur naib saddar ki tauheen karne par sazaoun aur jurmane aaed karne ki tajweez di gayi hai.

Alawa azeen naye tarmeemi bill mein tauheen mazhab par bhi sazaon aur jurmane ki tajaweez di gayi hain aur insani huqooq ki tanzeemoun ko khadsha hai ke is naye qanoon ko bhi intiqami siyasat ke tor par istemaal kiya jayega. ziyada tar samaji tanzeemon ka khayaal hai ke naya qanooni bill aindah haftay assembly se Manzoor hojaye ga kyun ke Indonesia ki tamam barri siyasi jamaten is bill ke masoude se hukoomat se ittefaq kar chuki hain. –YTN STAFF