Wednesday, May 15, 2024
HomeIndiaIndira Jaising ke bayan par bhir kee Nirbhaya ki Maa, Kaha, Un...

Indira Jaising ke bayan par bhir kee Nirbhaya ki Maa, Kaha, Un ke jaisay loog muashray ke liye dhabba hain

New Delhi: Nirbhaya case ke mujrimoun ki sazaye mout mein towsee kar di gayi hai. Is muamlay mein, Mukhtalif shobo se talluq rakhnay wali mashhoor shaksiaat apni baat pesh kar rahi hain. Senior Advocate Indira Jaising ne Nirbhaya ki maa Asha Devi se kaha hai ke wo mujrimoun ko maaf kar den. Jaising ne ek Twit mein likha hai ke ”Oh Nirbhaya ki Maa se, Sonia Gandhi ki misaal lainay ke liye darkhwast karti hin“.

Sonia Gandhi ne Nalini Murugan  ( Rajiv Gandhi ke qatal ki mujrim ) ko maaf kar diya tha aur kaha tha ke wo is ke liye sazaye mout nahi chahti hain. Jaising ne inhen bataya ke wo is ke sath hain, Lekin sazaye mout ke khilaaf hain.

Indira Jaising  ke is Twit par Nirbhaya ki Maa Asha Devi ne kaha ”Indira Jaising kon hoti hain, Inhen ye tajweez dainay wali. Poora mulk chahta hai ke mujrimoun ko phansi di jaye. Jaising jaisay loog muashray ke liye dhabba hain. Un jaisay loogoun ki wajah se, Esmatdari ka shikaar honay wali khawateen ko insaaf nahi mil paata hai“. Unhoun ne kaha ke ”agr bhaghwan bhi mujh se kahe to mein un mujrimoun ko maaf nahi karoon gi.

Asha Devi ne kaha mai yaqeen nahi kar sakti ke Indira Jaising ne ye kehnay ki jasaarat ki hai. Mein un se kayi baar Supreme court mein mil chuki hon. Unhoun ne ek baar bhi meri haalat ke baray mein nahi poocha aur aaj wo mujrimoun ke haq mein baat kar rahi hain. Aisay loog esmatdari ki himayat karkay apna guzara karte hain. Yahi wajah hai ke esmatdari ke waqeat ruk nahi rahay hain.

Wazeh ho ke, Nirbhaya case ke charoun mujrimoun, Mukesh Singh, Vinay Kumar Sharma, Akshay aur Pawan Gupta ko is se qabal 22 January ko subah 7 bajey phansi di jani thi. Mujrim Mukesh ki janib se sadar jamhooria Ram Nath Kovind ko reham ki darkhwast diye janay aur sadar ki janib se reham ki darkhwast ko mustard kiye janay ke baad, Un mujrimoun ki phansi ki tareekh mein towsee kar di gayi hai.

Delhi ki Patiala house adalat ne naya death warrant jari kiya hai. Ab un charoun mujrimoun ko yakam feb ko subah 6 baje phansi di jaye gi. Nirbhaya ki Maa Asha devi ne ilzaam lagaya hai ke siyasi faiday ke liye mujrimoun ko phansi dainay se guraiz kiya ja raha hai. Is se qabal, Adalat ki taraf se jari death warrant ke douran, Mujrim Mukesh Singh ki Maa ne Nirbhaya Maa Asha devi se apne betay ko maaf karne ki iltija ki thi.

Nirbhaya ki Maa ne inhen bataya ke wo apni beti ke bad numa jism ko faramosh nahi kar sakteen. Wo pichlle 7 saloon se khoon ke ansoo ro rahi hain. –YTN STAFF