New Dehli: Mulk ki pehli wahid khatoon wazeer-e-aazam Indira Gandhi ke 102 wen yom-e-paidaiesh par, mangal ke roz Sadar Jamhooria Ram Nath Kovind, wazeer-e-aazam Narendra Modi, Congress Party ki aboori sadar Sonia Gandhi, Congress ke rehnuma Rahul Gandhi ke ilawa sabiq sadar Jamhooria Pranab Mukherji, sabiq naib sadar Jamhooria Hamid Ansari, sabiq wazeer-e-aazam Manmohan Singh ne Indira Gandhi ko kharaaj pesh kiya. Wazeer-e-aazam Narendra Modi ne apne ek Twit may kaha ke ”hamari sabiq wazeer-e-aazam Indira Gandhi ko unke ke yom-e-paidaiesh par kharaaj tehseen“.
Congress rehnuma Rahul Gandhi ne Hindi may twit karte hue kaha ke ”unke pyari Dadi taqatwar, mustahkam qayadat aur Adeemul misaal intizami salahiyat ki haamil o Iron lady, ko dil o jaan se kharaaj aqeedat, jinhoun ne Hindustan ko ek mazboot mulk ke tor par qaim karne may kaleedi kirdaar ada kiya“.
Congress Party ne marhoom khatoon rehnuma ko kharaaj tehseen pesh kiya. Party ki janib se ek Twit may kaha gaya ke ”Ham Hindustan ki pehli khatoon wazeer-e-aazam Indira Gandhi ko kharaaj aqeedat pesh karte hain, jin ke azm-o-himmat ne Mulk ko bulandiyoun tak puhanchaya“.
Indira Gandhi aaj hi ke din 19 November 1917 ko Uttar Pradesh ke zila Allahabad ( Prayagraj ) may, Hindustan ke pehlay wazeer-e-aazam, Pandit Javahar Lal Nehru, aur un ke ahliya Kamla Nehru ke haan peda huve the. Indira Gandhi ne January 1966 se March 1977 tak aur phir January 1980 se october 1984 may un ke qatal tak wazeer-e-aazam ki hesiyat se khidmaat anjaam deye. inhen mulk ke sab se bade shehri aizaz “Bharat Ratan “aur aalmi aizaz Nasi” Award se bhi nawaza ja chuka hai. – YTN STAFF