Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaIndian Union Muslim League ne francesi sadar ke Islamophobic bayanaat ki sakht...

Indian Union Muslim League ne francesi sadar ke Islamophobic bayanaat ki sakht mazammat ki

Chennai: Indian Union Muslim League ke qaumi saddar wo sabiq rukan-e-parliament professor KM Qadir Mohi uddin ne apne jari kardah akhbaari bayan mein French sadar Emmanuel Macron ki nasal parastana islam mukhalif bayanaat ki sakht alfaaz mein mazammat ki hai.

Francesi sadar Emmanuel Macron ek francesi jareeday mein risalat-e-maab ṣallā llāhu ʿalayhī wa-sallama ke cartoons ki ashaat par juwaz paish karte hue baar baar bayanaat jari kar rahay hain.

Un ki taraf se France mein Islamophobia ki is policy ko jari rakhna ghalat hai. dosray aalmi mazahab ke barkhilaf islam ne apne paighambar ki nah to ibadat ki hai aur nah hi un ki mujasma bandi ki hai.’ Allah taala ke siwa koi ibadat ke Laiq nahi aur Mohammad ṣallā llāhu ʿalayhī wa-sallama  Allah taala ke rasool hain ‘.

Aqeday ke is bunyadi kalme mein nabi ko khuda ke sath barabar nahi kiya hai. Mohammad ṣallā llāhu ʿalayhī wa-sallama ki tasweer ya musawari ya mujasma kisi bhi aalmi adab, art aur mujasma saazi mein se kisi mein bhi mojood nahi hai.

Yeh musalmanoun ka pukhta aqeedah hai ke Mohammad ṣallā llāhu ʿalayhī wa-sallama ki shakhsiyat ke khakon ka tasawwur karna na sirf tareekh ko maskh kar raha hai balkay islam ke bunyadi usool par bhi sawalia nishaan lagaraha hai.

Secularism aur izhaar raye ki azadi kabhi bhi apne hi mulk ke aqliton ke badey tabqay ke mazhabi aqaed aur jazbaat ki be-izzati karne aur thais pohanchanay ki policy ki khbi targheeb nahi deti hai.

France mein tanzia cartoon culture ko juwaz banakar France sadar Emmanuel Macron secular nazriaat ki ahmiyat ko maskh kar rahay hain. francesi sadar ko maloom hona chahiye ke duniya bhar ke islami scholars ne francesi school mein ek ustaad ke sir qalam kiye jane par aur girja gharon par par tashadud hamlon ki sakht mazammat ki hai. Arabi muslim naamon ke chand gumraah nojawan aalmi muslim community ke numaindey nahi hain aur na hi woh islam ki aawaz hain.

Islam kaamil iman ka mazhab hai aur duniya ke logon ke dil wo dimagh ko hum aahang karta hai. hum, France ke sadar se pur-josh appeal karte hain ke woh muslim community ke aitqaad aur jazbaat ko samajhney ke liye mukhlisana koshish karen. hum, aalam-e-islam se bhi appeal karte hain ke woh ek sath mil kar is gumraah noujawanoun ka khatama karen jo musalman honay ka daawa karte hain aur ghair islami sar garmion mein mulawis hotay hain aur islam ke bunyadi usoolon aur muslim muashray ke Muaziz wujood ko sabotaz kar rahay hain.