New Delhi : Modi hukoomat ne Bullet train ki sahuliyaat faraham karne ka wada karte hue railway ko tukdoun mein khangi aur ghair mulki companiyon ke hathon ko saumpne ki tayari kar rahi hai. train, station, kayi tarha ki khidmaat to un companiyon ko di hi jayengi, woh rail factory bhi unhein dheeray dheeray dedi jayengi jo coach aur engine bananay mein mahaarat haasil kar chuki hain aur ab apne products beron mumalik bar aamad karne ki tayari kar rahi hain .
Hukoomat ki janib se aisa mansoobah pehli martaba nahi bana hai. ohdedaron neh is zimn mein guzashta 15 barson mein kayi martaba koshishen kee lekin UPA hukoomat ke douran unhein tavajja nahi di gayi aur unhein barfdaan ki Nazar kardiya gaya. rail mulazmeen ke mukhtalif tanzeemon neh bhi tab sakht rukh ikhtiyar kiya tha lekin is martaba hukoomat mein mukhtalif sathoun par is baarey mein sargarmia taiz ho gayi hain. June ke dosray haftay mein rail bhavan mein munaqqid general mangers ke ijlaas mein railway board neh wazeer rail Piyush goel ke samnay trains ko khangi operators ko dainay se mutaliq mansoobay aur mustaqbil ka Laiha amal paish kiya.
Is mein railway board chairman VK Yadav ne jo mansoobah pesh kiya hai is ke mutabiq premium trains, yani Rajdhani, Shatabadi ko khangi operators ke hawalay karte hue musafiron ko aalmi satah ki sahuliyaat di ja sakti hain. is ke liye unhein chalanay, unki nighadasht karne waghera ke kaam IRCTC ( Indian Railway Catering And Tourism) ko sompne ka mansoobah hai. is mein transportation ka kharch aur Ruling stock ( engine. coach ) ka kiraya IRCTC ko dena hoga. is ke alawa rail kiraya se honay walay munafe ka kuch hissa railway ko dena hoga. is ke aiwaz ticket booking aur khanay peenay ki khidmaat waghera ka ikhtiyar IRCTC ke paas rahega.
Dastawizaat ke mutabiq kam bheedh walay railway raastoon aur sayahati maqamat ko jodnay walay raastoon par IRCTC aur train chala sakti hai. railway ko khangiyana ke mansoobah ka agar tijzyati mutalea karen to yeh nataij bar aamad hotay hain. railway board aindah 100 dinon mein khangi train operators ko train chalanay ke liye pasand ka izhaar raye ( expression of antrist ) dastaweez jari karega. is mein khangi train operator apne mann pasand raastoon par train chalanay ki khwahish zahir karenge.
Isi douran railway train chalanay ke liye boli talabb karega. abhi khangi train operators ke liye koi sharait wo zawabit tey nahi kiye gaye hain. zaraye ke mutabiq yeh kaam IRCTC ki madad se kiya jayega. trains ka ziyada se ziyada kiraya railway board tey karega jis se khangi operator kiraya mein manmani nahi kar sakenge. railway board ke mumbar traffic Gresh plyi neh January mah mein is baat ka ishara kar diya tha ke premium Trains chalanay ke liye khangi operators ki madad li jayegi .
transportation reserch and management center ( STRAM) ki janib se munaqqid railway ke business mein Transfer mission subject par apne khitaab mein unhon neh is ka tazkara kiya tha. unhoun neh wazeh tor par kaha ke musafir Train chalana khasaray ka souda hai. kuch trains ko chodh kar ziyada tar Trains khasaray mein chal rahi hain. railway board ke Dastaweezat mein tazkara hai ke train chalanay mein anay wali laagat ka sirf 53 feesad railway ko milta hai, baqi musafiron ko kiraya mein chhuut di jati hai. yahi wajah hai ke hukoomat pakwaan gas par subsidy chodney ki appeal ke baad ab rail musafiron se subsidy chodney ki appeal karegi .
premium trains yani Rajdhani, Shatabdi mein flexi fear formula bhi musafir trains mein honay walay khasaray ka azaala ne nahi kar pa rahay hain. kayi raastoon par train ke AC2 darjaa ka kiraya hawai jahaaz ke kiraya se ziyada hai. yahi wajah hai ke 2018 mein saat crore rail musafir kam hogaye. usay dekhte hue railway neh 15 Shatabdi trains se flexi fear hata diya tha. Flexi ke mutaliq awam mein railway ki badnami honay par 32 premium trains mein lain season mein flexi fear nahi lainay ka faisla kiya gaya hai .
policy saazi ke aala idaara NYOTI aayog ne 2016 mein railway par tanqid karte hue kaha tha ke musafir khidmaat mein nuqsaan se nimatnay ke liye kiraya mein izafah karna wahid rasta nahi hai. railway ki laagat dhanchay mein mojood khaami is ki ahem wajah hai. kiraya se alag zaraye ki madad se apni aamdani badhhani chahiye lekin railway board neh is simt mein kaam karne ki jagah premium trains ko seedhay khangi train operators ko sompne ka faisla kiya hai. iska sab se bura nateeja yeh ho sakta hai ke haal mein trains mein buzrug, khawateen, mazuroun, sangeen bemari mein mubtala mareezon, paanch saal tak Umar ke bachon ko milnay wali riayat khatam kar di jaye . –YTN STAFF