Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaIndia ko Hindostan ya Bharat karne se Supreme Court ka inkaar

India ko Hindostan ya Bharat karne se Supreme Court ka inkaar

New Delhi: Supreme Court ne aaj mulk ke angrezi naam India ko tabdeel karkay Hindostan ya Bharat karne ki darkhwast par khoor karne se inkaar kardiya aur darkhwast guzaar se hukoomat ke samnay apni baat pesh karne ko kaha. Chief Justice Sharad Arvind Bobde, Justice A. S. Bopanna aur Justice Hrishikesh Roy par mushtamil division bench ne darkhwast guzaar ki janib se pesh wakeel ki dalail suneney ke baad darkhwast guzaar se kaha ke wo apna Memorandum hukoomat ko pesh karen. 

Samaat ke aaghaz par wakeel ney istadlaal kiya ke India ka naam yonani lafz Indica se nikla hai. Is par Chief Justice ney kaha ke darkhwast guzaar yahan kyun aaye hain? Ayeen mein mulk ka naam Bharat hi hai. Justice Bobde ney kaha ye hamaray ayeen ke shuru mein hi likha gaya hai India that is Bharat ( India jo Bharat hai ). Aap ke sath masla kiya hai? Darkhwast guzaar ke wakeel ney daleel di ke Bharat aur Bharat Mataa ki jiye sadiiyoun se boli ja rahi hai. Is par Justice Bobde ney kaha ke darkhwast guzaar wizarat dakhla ko apna memorandum pesh karen. 

Darkhwast guzaar ne darkhwast ki thi ke markaz ko dastoor ke Article 1 mein tarmeem ki hidayat di jaye, Aur lafz India ko astamar aur ghulami ki alamat qarar diya jaye. Darkhwast guzaar ne ye darkhwast Advocate Raj Keshwar Choudhri ke tavassut se dair ki hai.

Darkhwast mein kaha gaya hai ke India ki bajaye Bharat naam rakhnay se mulk mein qaumi ehsas peda hoga. Darkhwast guzaar ne apni darkhwast mein 15 November 1948 ke ayeen ke masode ka bhi zekar kiya, Jis mein M. Ananteshinam Iyengar aur  Seth Govind Das ne India ki jagah ayeen ke masode ke Article one par behas karte huve Bharat, Hindustan aur Bharat Warsh naamoun ko apnaa ne ki waqalat ki thi. –YTN STAFF