Sunday, May 5, 2024
HomeIndiaIncome Tax May Koi Raahat Nahi

Income Tax May Koi Raahat Nahi

New Delhi: Income Tax may badi raahat ki umeed lagaye aam aadmi ko  budget 2019 se kaafi mayoosi hui. hukoomat ne uboori budget may paanch laakh rupay tak ki aamdani par tax may sad feesad chooth dene ka elaan kiya tha aur awam ko is may tarmeem ki umeed thi lekin budget may is may koi tabdeeli nahi ki gayi hai.

Wazeer-e-khazana Nirmala  Sitharaman ne Narendra Modi hukoomat ke dosray daur ka pehla aam budget paish karte hue tax slab may koi tabdeeli nahi ki. halaanke raast tax revenue may izafah ke liye 2019-20 ke budget may mehsool ke zareya se ameeron par tax ka boojh badhaya gaya hai.

Pehlay ek crore rupay se ziyada ki qabil tax aamdani walay afraad ko infiradi tax par pandrah feesad mehsool dena padta tha. naye budget may ek crore rupay se ziyada aur 2 crore rupay tak ki aamdani walon ke liye mehsool 15 feesad hi barqarar rakha gaya hai. 2 crore se ziyada aur paanch crore rupay tak ki aamdani walon ke liye mehsool pandrah feesad se badh kar pachees feesad  kardia gaya hai jab ke paanch crore rupay se ziyada ki aamdani waloun ke liye mehsool badha kar 37 feesad kiya gaya hai. Sitharaman ne kaha ke usay 2 crore se ziyada aur 5 crore rupay tak ki salana aamdani walon ko pehlay ke muqablay may teen feesad aur paanch crore rupay se ziyada ki aamdani walon ko saat feesad ziyada tax dena hoga.

2 laakh rupay tak ki aamdani walon ke liye tax slab may koi tabdeeli nahi kiye jaaney se yeh pehlay ki tarhan hi rahenge. 5 laakh rupay salana se ziyada aamdani par hi tax dahindgaan tax ke dairay may ayenge. pichle maali saal may dhai se paanch laakh rupay ki aamdani par paanch feesad tax qabil adaigi tha. 5 laakh rupay se ziyada tak ki aamdani par tax 20 feesad lagta tha. das laakh rupay se ziyada par income tax 30 feesad tha. is tarhan paanch laakh rupay se 1 rupiya bhi aamdani ziyada hojane par raqam income tax ke dairay may aajaygi. –YTN STAFF