Saturday, May 4, 2024
HomeSliderImtehanat mein talba ko dabbey pehnaney par ustaad ko bar-tarf karne ka...

Imtehanat mein talba ko dabbey pehnaney par ustaad ko bar-tarf karne ka mutalba

Mexico: Asateza ki yeh koshish hoti hai ke woh talba ko Imtehanat mein naqal naweesi se rokain jis ke liye kayi hikmat amlyan ikhtiyar ki jati hain, jin mein sakht iqdamaat se leker akhtray tareeqay sab hi shaamil hotay hain lekin ek ustaad ki anokhi koshish usi ke liye mehngi saabit hui. Mexico ke ek ustaad high school ke talba ko imthehaan ke douran naqal se roknay ke liye sir par card board box pehnanay par tanqeed ki zad mein hain.

Oddity central ki report ke mutabiq mexico ki riyasat mein waqay L.Sebanel college of bachelors campus one ke director par talba ke bunyadi insani huqooq todnay aur inhen tazheek ka nishana bananay ka ilzaam aa-ed kiya gaya hai.

Khayaal rahay ke sir par dabbey pehnay talba ki tasweer online viral honay ke baad se mazkoorah ustaad tanqeed ki zad mein hain. talba ke walidain ne is hawalay se tasweer social media par jari ki aur awaami bayan ke zariye mexico ke taleemi hukkaam se ustaad ko bartarf karne ka mutalba kiya.

Walidain ki janib se jari bayan mein kaha gaya ke hum college of bachelors campus one ke talba ke khilaaf tazheek aamaiz ravayye, jismani, jazbati aur nafsiati tashadud ko mustard karte hain, Taxes talba ke sath aisa sulooq karte hain aur inhen tazheek ka nishana banatay hain. bayan mein kaha gaya ke bator walidain hum wifaqi aur reyasti taleemi hukkaam aur idaron se mutalba karte hain ke talba ke haqooq ko yakheeni bananay ke liye taxes ko bar tarf kiya jaye.

Walidain ne mazeed kaha ke hum umeed karte hain ke mustaqbil mein is qisam ka tashadud nahi kiya jayega aur wifaqi aur reyasti hukkaam ki janib se taleemi idaron mein talba ko tazheek ka nishana bananay walay ohdedar ko bar-tarf kiya jayega. taham walidain ke alawa social media par aksar afraad ne teacher ke iqdaam ki mazammat karne ki bajaye naqal ki rokk thaam ka mo-asar hal talaash karne par inhen mubarak baad di. naqal ki rok thaam ki yeh pehli munfarid technic nahi hai, is se qabal 2013 mein thailand mein aisa hi tanaza samnay aaya tha jahan talba ko kaghaz se banay insidaad naqal helmets pehannay par majaboor kiya gaya tha. –YTN STAFF