Friday, May 10, 2024
HomeSliderImtehanaat ke nataij, Telangana mein talba Corona se ziyada mutasir honay lagey

Imtehanaat ke nataij, Telangana mein talba Corona se ziyada mutasir honay lagey

Hyderabad: Corona ke mamlaat Telangana mein talba mein har mahinay dugna ho rahay hain. September 28 tak 10-20 saal ke omar walay taqreeban 16235 afraad coronavirus se mutasir hue hain. Is omar ke 10 se 20 saal tak School ke talba, Intermediate aur pesha warana courses mein zair taleem hain. July 28 ko is omar group mein mareezon ki tadaad 5.3 feesad thi jo August 28 ko badh kar 6.5 feesad hogayi aur September 29 tak kul mutasirah mamlaat mein se taqreeban 8.72 feesad izafah hai.

July mein sirf 3028 talba mutasir hue thay jo August mein 7632 aur September mein 16325 ho gaye hain. Zahir hai ke September mein mutadid imtehanaat ka ineqad honay ke sath hi, Ghar se baher anay walay 10 se 20 saal omar ke talba ki tadaad is wabai marz ka shikaar hui hai. Paiir ke roz tak corona se mutasir hue walon mein taqreeban 5.05 feesad mard aur 3.67 khawateen hain jabkay 28 August taa 28 September ke douran Telangana mein omar ke tamam garohoon mein 59 feesad izafah huwa hai.

Pichlle ek mah ke douran September mein 0 taa 10 saal ki omar ke talba Telangana mein mareezon ki tadaad badh kar 4.23 hogayi hai jabkay August aur July mein yeh tadaad 3.4 thi. Taham 31-50 saal ke darmiyan ki omar walay infection se mutasir honay walon mein August mein 42.7 se September mein 40.99 feesad mamooli kami waqay hui hai. Pichlle ek mah ke douran khawateen mein virus se mutasirah afraad ki tadaad mein numaya izafah huwa hai. Jabkay August mein 35.59 feesad Infection khawateen theen jabkay September tak yeh tadaad badh kar 38.17 feesad hogayi.

Ek janib guzashta ek mah ke douran kayi ek imtehanaat mein shirkat se talba mein coronavirus phelnay ke khadshaat badh chuke hain to doosri janib reyasti hukoomat ki janib se schools ki kushadgi ki tayyariyan horahee hain jis ki wajah se aolyaye talba mein ek qisam ki be cheeni payi jati hai.