Wednesday, May 15, 2024
HomeIndiaImran Pratapgarhi ke khilaaf muqadma, Hyderabadi Police ke dohray miyaar ki muzammat

Imran Pratapgarhi ke khilaaf muqadma, Hyderabadi Police ke dohray miyaar ki muzammat

Hyderabad: Urdu ke shayar Imran Pratapgarhi ke khilaaf Hyderabad Police ki janib se muqadma darj kiye jane ke baad muqami awam mein barhami payi jati hai kyunkay ek janib shehar ki barsareqtedar jamaat ke qaideen dosray maqamat aur reyastoun mein shehriat tarmeemi qanoon ke khilaaf ehtajaji muzahiroun mein na sirf shirkat karte hain balkay kalay qanoon ke khilaaf awam ko aawaz buland karne ki targheeb dete hain lekin agar koi dosra Hyderabad mein is kalay qanoon ke khilaaf sada buland karne ki koshish karta hai to is ka na to sath diya jata hai aur na hi is ke khilaaf darj honay walay muqadmaat ko wapas lainay par zor diya jata hai.

MBT ke tarjuman Amjadullah Khan ne Hyderabad Police ki janib se Imran par muqadma darj honay aur is karwai ki shadeed muzammat ki hai aur kaha hai ke haal hi mein munaqidah RSS March aur BJP aur is ke ittihadi Groups ke Programs par wahi police hai jo khamosh tamashaayi bani rahi thi jab unhoun ne CAA ki himayat mein mulaqate kee aur bakheir kisi ijazat ke Rallis nikalen to aur khaas baradri aur shakhs ke khilaaf naarey baazi ki to koi karwai nahi huvi.

Yaad rahay ke Urdu ke shayar Imran Pratapgarhi aur deegar ke khilaaf Hyderabad Police ne shehriat tarmeemi qanoon aur NRC ke khilaaf ehtajaji musharah ke silsila mein awam ko uksanay ka ek muqadma darj kiya hai. Charminar Police ne az khud karwai karte huve ek FIR jari kiya hai jis mein shayar Imran Pratapgarhi par ye ilzaam aed kiya gaya hai ke unhoun ne shehar ki awam ko uksanay ki koshish ki hai.

CAA aur NRC ke khilaaf sabiq majalsi Corporator o Congress Leader Khawaja Bilal Ahmed aur Razaye Ellahi Foundation ke Syed Saleem ne Quli Qutub Shah Stadium mein ehtajaji musharah ka ineqad kiya tha jis mein Imran Pratapgarhi ko maheman khusoosi ke tour par madoo kiya gaya tha. Police ne apne FIR mein ye darj kiya hai ke ehtajaji musharah ke liye Additional Commissioner Of Police Law and Order ne mashroot ijazat di thi jis mein ehtajaji Program 24 Feb shaam 6 bajey taa 9 bajey tak ijazat di gayi thi lekin is program ko 9.48 bajey tak chalaya gaya tha jis ke nateeja mein Police ne ye karwai ki hai.

FIR mein ye wazeh tor par darj kiya gaya hai ke mashhoor shayar Imran Pratapgarhi ne apni taqreer ke douran ye kaha ke mujhe herat hai ke is Hyderabad mein koi Shaheen Bagh kyun nahi hai. Police ne Pratapgarhi ki is taqreer ko awam ko uksanay ka ilzaam karte huve un ke khilaaf tazirat hind ki dafaa 505 ( 1 ) aur 188 ke tehat muqadma darj karte huve tehqiqaat ka aaghaz kardiya. Charminar Police ne ehtajaji musharah ke muntazmeen Khawaja Bilal Ahmed aur Syed Saleem ke naam bhi FIR mein shaamil kiye hain. –YTN STAFF