Friday, May 10, 2024
HomeLatest NewsImran Khan ne shehriat tarmeemi billl ki shadeed muzammat ki

Imran Khan ne shehriat tarmeemi billl ki shadeed muzammat ki

Islamabad: Pakistan ke wazeer-e-aazam Imran Khan ne mangal ke roz Pakistan, Bangladesh aur Afghanistan se ghair muslim muhajreen ko hindustani shehriat dainay ki koshish karne walay mutanazia, Shehriat tarmeemi bill 2019 ki Lok sabha mein manzoori ki muzammat karte hue kaha ke is se ”Jo insani haqooq ke bain-ul-aqwami qawaneen ke usoolon ki khilaaf warzi hoti hai.

Imran Khan ne ek twit mein kaha ke ”Ham hindustani Lok sabha ki shehriat se mutaliq qanoon saazi ki shadeed muzammat karte hain, Jo insani haqooq ke bain-ul-aqwami qawaneen ke tamam usoolon aur Pakistan ke sath bahami maahdoun ki khilaaf warzi karta hai. Aur ye fashst Modi hukoomat ke zareya RSS ke ”Hindurashtra “ki raah hamwar karne ka hissa hai“.

Wazeh ho ke peer ki aadhi raat ko lok sabha mein musevida qanoon ki manzoori ke baad Imran Khan ke ye remarks aeye hain. Pakistan, Afghanistan aur Bangladesh mein zulm-o-sitam ka saamna kar ne walay hindu, Eisaion, Sikhnon, Parsyon, Jainun aur Budhistoun ko hindustani qomiyat dainay ka qanoon ban’nay se qabal ye hatmi rukawat uboor karne ke liye is bill ko mangal ko Rajya sabha mein pesh kiya jaye ga.

Shehriat tarmeemi bill ( CAB ) ki manzoori par Americi commission ( USCIRF ) ne bhi tashweesh taher ki hai. bain-ul-aqwami mazhabi azaadi ke maamloun ko dekhnay wala united states commission International Religious freedom ne shehriat tarmeemi bill ko Modi hukoomat ke zareya ek ghalat simt mein badhaaya gaya ek khatar naak qadam hai, Aur agar ye hindustan ki parliament mein pass hota hai to hindustan ke wazeer-e-dakhla Amit Shah ke khilaaf pabandi lagai jani chahiye. –YTN STAFF