New Delhi: Hindustan ke dar-ul-hakoomat Delhi ke cheif Minister aur Aam Aadmi Party ke sarbarah Arvind Kejriwal ney ilzaam aed kiya hai ke wazeer e azam Pakistan Imran Khan Hindustan mein fasadaat karwana chahtay hain yahi wajah hai ke woh lok sabha intikhabaat mein Narendra Modi ki madad kar rahay hain .
Samaji rawabit ki Website twitter par kiye gaye Twitter mein Arvind Kejriwal nay kaha ke Pakistan aur Imran Khan Hindustan mein fasadaat phelana chahtay hain, isi liye Pakistan , dobarah wazeer e azam ban’nay mein Modi ki madad kar raha hai. Kejriwal ke mutabiq jo kaam Pakistan 70 saal mein nahi karska woh unke dost Modi nay 5 saal mein kardiya. Arvind Kejriwal nay yeh Tweet Bhartia Janata Party ke Tweet ke jawab mein kiya tha .
Qabal azeen BJP sadar nay Tweet may kaha tha ke woh mulk se buddhoun, hinduoun aur sikhnoun ke alawa Hindustan mein daakhil honay walay har fard ko nikaal denge. yeh Tweet Assam riyasat mein (NRS) ke mutanazia amal se mutaliq kiya tha .
Arvind Kejriwal nay mazkoorah bayan intikhabaat se mutaliq wazeer e azam Pakistan ke bayan par diya tha. 10 April ko wazeer e azam Pakistan Imran Khan nay apne interview mein kaha tha ke agar Hindustan mein BJP ki hukoomat dobarah aayi to masla Kashmir se mutaliq paish Raft ka imkaan hai. Imran Khan nay kaha tha ke agar Hindustan mein agli hukoomat congress jamaat ki aayi to woh masla Kashmir ke hawalay se khatarnaak hosakti hai .
Baad azan Hindustan mein intikhabaat se mutaliq wazeer e azam Imran Khan ke bayan par Hindustan mein oppostion jamaaton ki janib se Narendra Modi aur unki jamaat BJP par sakht tanqeed ki gayi .
Congress, Aam Aadmi Party , kasmiri siyasatdanoun Umar abdullah aur mehbooba mufti ki janib se BJP ko tanqeed ka nishana banaya. wazeer e azam Pakistan ke bayan par congress ke tarjuman Randeep singh surjeywala nay samaji rawabit ki Website twitter par tweet mein kaha ke Pakistan sarkari tor Modi ka ittihadi ban gaya hai! Modi ke liye vote Pakistan ke liye vote hai. unhon nay kaha ke Modi jee, pehlay Nawaz shareef ab Imran Khan aap ke dost hain, raaz khul gaya hai . – YTN STAFF