Sunday, May 4, 2025
HomeSliderImaarton ki tamiraat ko aasaan bananay'' TS-bPass'' Muta-arif

Imaarton ki tamiraat ko aasaan bananay” TS-bPass” Muta-arif

Hyderabad: Shehri ilaaqon mein imaarton ki tamiraat ijazat ke liye Single Window Clearance ke zareya shafafiat ke naye daur ki shuroaat karte hue Telangana ki reyasti qanoon saaz Assembly ney mutafiqa tor par Telangana State Building Permission Approval and Self Certification System ( TS-bPass ) bill manzoor kiya.

Yeh bill inqalabi islahat laane ki koshish par mabni hai jo imarat ki ijazat haasil karne mein nah khatam honay walay intezaar aur Bureaucratic rukavaton ko khatam kardey ga. Is ko ewaan mein Bill pesh karte hue Municipal intizamia aur shehri taraqiyati wazeer KT Rama Rao ney taraqqi pasand qanoon qarar diya. Is zimn mein unhoun ney kaha ke is se shehrion ko khud Certification ke zariye apne makanaat ki taamer mein madad miley gi. Agar hukkaam 21 din ke andar andar imarat ki ijazat ko manzoor nahi karte hain to samjha jata hai ke yeh ijazat day di gayi hai.

TS-bPass ek khud Certification nizaam hai jo shehrion ko zimma daar banaye ga aur is baat ko yakeeni banaye ga ke woh reyasti hukoomat ke imaarat aur tarteeb ki ijazat ke qawaid par amal karen. Naye qanoon ke mutabiq 75 murabba gaz ke pemaiesh walay Plat walay ilaaqon aur bulandi 7 meter taq building ki ijazat ki zaroorat nahi hai. Lekin darkhwast dahindgaan ko chahiye ke woh shehri baldeati idaray ke sath TS-bPass istemaal karte hue 1 rupay ki token fees ada kar ke indraaj karen.

Telangana ke wazeer ney wazahat ki ke isi terhan shehri khud tasdeeq ke zariye 75 murabba gaz se 600 murabba gaz par mushtamil plats imaarton ki tamiraat ke liye fori ijazat haasil kar saktay hain aur apna tamirati kaam shuru kar saktay hain. Unhoun ney kaha ke 600 murabba gaz se ziyada plot size aur imaarton ki oonchai 10 meter se ziyada imaarton mein ek hi window manzoori jari ki jaye gi. Lehaza darkhwast dahindgan zaroori ijazat naame haasil karne ke liye deegar tamam mutaliqa mehakmon se rujoo kiye baghair hi ek mushtarqa darkhwast dair kar saktay hain.

Muqarara waqt ke sath darkhwast khud bakhud mutaliqa mehakmon ko arsaal ki jaye gi jin mein aab paashi, Aag, Mehsool, Police, Airport Authority of India aur deegar shaamil hain jo 7 taa 15 dinon ke andar apne Remarks ya koi aitraaz Certificate bhejen ge. Aakhir mein mutaliqa baldeati hukkaam dastawizaat ki jaanch karen ge aur 21 din ke andar taamer ke liye zurori ijazat naame jari karen ge. Kisi bhi dastaweez ki zaroorat ki soorat mein darkhwast dahinda ko 10 din ke andar isi baat ki ittila di jaye gi . Imarat ke ijazat naame plat ke geographical naqat ke sath jari kardiye jayen ge. Rama Rao ney mazeed kaha hai ke mutaliqa dastawizaat pesh karne ke baad 15 din ke andar qabza certificate bhi jari kardiye jayen ge.

Naye qanoon ke tehat GHMC sameit tamam Municipalities ko yeh hukum diya gaya hai ke woh imarat ki ijazat ki tamam darkhwaston ko muqarara 21 din ke andar clear kar dein jis mein yeh ijazat manzoor ki gayi hai. Is ke ilawa 22 we din darkhwast dahinda ko Municipal Commissionaire aur Town planning officer sameit mutaliqa hukkaam ke dastkhaton ke zareya mutaliqa baldia ki taraf se khudkaar Certifiacate jari kiya jaye ga taakay woh Bank karzz ya deegar maali madad haasil kar saken. Isi terhan 75 murabba gaz se kam raqbay walay plats mein taamer ke liye bhi darkhwaston ke liye fori tor par certificate jaari kardi jaengi.