Saturday, May 18, 2024
HomeJurmIjtimai esmat darri ke baad zindagi ki jung lad rahi dalit khatoon...

Ijtimai esmat darri ke baad zindagi ki jung lad rahi dalit khatoon ki mout hogayi

Hathras: Uttar Pradesh se talluq rakhnay wali 19 sala dalit khatoon ne 14 September ko Hathras zila mein 4 hewanon ke ijtimai esmat darri ka nishana ban’nay ke baad nai Delhi ke ek hospital mein zakhamo ki taab nah laatay hue dam toad diya.

Khatoon ko mobayyana tor par 14 September ko apne gaon mein 4 hewanon ne is waqt zayad-ti ka nishana banaya, Jab woh khait mein gayi thi. Mutasirah ladki ko ibtidayi tor par 15 din qabal ek zilai hospital mein daakhil kiya gaya tha, 4 hewanon ne mutasirah ladki ki ijtimai esmat darri karne ke baad is ki zabaan kaat di, Is ke ilawa woh is ki reedh ki haddi shadeed zakhmi hogayi thi.

Aglay din usay Aligarh ke ek hospital le jaya gaya tha, Mutasirah ladki ki halaat tashweesh naak honay par aur behtar tibbi sahuliyaat ke liye Delhi ke Safdarjung Hospital muntaqil kar diya gaya tha. Police ke mutabiq mutasirah khatoon apni maa ke sath gaaye ke liye ghaas katnay ke liye qareebi khait mein gayi thi aur is ke foran baad hi la patah ho gayeen. Maqtolha ki walida ka kehna hai ke woh be dardi se zakhmi haalat mein payi gayi, Mulzim ne is ka gala ghoontnay ki koshish bhi ki thi.

Bad azan police ne charon mulzimon ko giraftar karliya. Bahujan Samaj Party ( BSP ) ki sadar Mayawati ne is waqeye ki muzammat karte hue kaha ke Uttar Pradesh mein kisi bhi qisam ki koi aurat mehfooz nahi hai, Aur reyasti hukoomat se is par tawajah dainay ko kaha hai.