Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaIIT JEE ki tayari, Talba ke liye muft App muta-arif

IIT JEE ki tayari, Talba ke liye muft App muta-arif

Hyderabad: Coronavirus ke khilaaf ladi jaany wali jung mein duniya ka taqrbian har mulk Lockdown ke marhalay se guzrha hai jis ki wajah se zindagi ruk si gayi hai. Imtehanaat multawi honay ke baad talba ki ek badi tadaad gharoun mein khaali hai lekin saal ke ikhtitami mahino mein kuch musabaqti imtehanaat honay walay hain jin ki tayari mein lakhoun talba apni mansoobah bandi mein masroof they lekin Lockdown ki wajah se un ki tayari ki raftaar ruk gayi hai.

Darin asna IIT JEE imtehanaat ki tayyary karne walay talba ke liye Pearson ne Quikik nami App muta-arif kiya hai jis ke madad se talba is Lockdown ke waqt ghar imthehaan ki tayyary kar saktay hain chunkay ye App AI par mabni rayazi seekhnay ki ek muft sahoolat faraham karta hai. IITJEE imtehanaat ki tayari jari rakhnay ke liye talba ki Madad ke liye is ke mine Side Online Mock Tests tak muft sahoolat faraham ki gayi hai.

Coronavirus phelnay ke nateejay mein mulk bhar ke School aur taleemi idaray band honay ke sath sath IIT. JEE ( IIT –JEE ) jaisay baday masabqti imtehanaat multawi kardiye gaye hain. In band ke auqaat ke douran talba ko Online khudkar mutaleya ke hal ke liye duniya ki maroof Company Pearson ne ” Quikik ” App muta-arif karwane ka elaan kiya. Ye ek nai AI par mabni rayazi seekhnay mein madad faraham karne wali App hai jis ki madad se talba ko rayazi ki mahaarat ko taqwiyat millti hai.

Is ke alawa, Company ne IIT. JEE talba aur Institute ko is ki maai un site Online tamseeli Test Series tak muft rasai ka elaan kiya hai taakay taalib ilmoun ko kisi bhi terhan ke Digital tashkhisi alay ki shakal mein baghair kisi rukawat ki tayari ka mauqa aur wasail ko yakeeni banaya jasakay. –YTN STAFF