Saturday, May 4, 2024
HomeIndiaIdaara jati Quarantine ke liye Fees wusool karna zalimana aur ghair insani...

Idaara jati Quarantine ke liye Fees wusool karna zalimana aur ghair insani amal. SDPI

New Delhi ( Press Release ): Social Democratic Party Of India ke qaumi General Secretary Abdul Majeed ne apne jari kardah akhbaari bayan mein BJP ki hukmarani wali 3 reyastoun Gujrat, Goa aur Karnataka hukoomat ke is faislay par sadme aur ghusse ka izhaar kiya hai jis mein mohajir mazdoor jo apne gharoun ko wapas ho rahay hain un se idaara jati Quarantine ke liye fees wusool karne ka faisla kiya gaya hai. Abdul Majeed ne mohajir mazdoroun se Quarantine ke liye muawza wusool kiye jaane ko zalimana aur ghair insani amal qaraar diya hai, Kyunkay mohajir mazdooroun ko guzashta chand mah se koe amdani nahi hai lockdown ke bad se wo berozkar hai. Kuch Gujrat se talooq rakne walay taqreeban 20 bashinday jo Tamil Nado se Gujrat wapas lout rahay they inhen Sooraj baadi check post high way par baghair khanay ke 12 ghantay guzaarnay par majaboor kiya gaya, Halaanke un ke paas safar ki tamam aajaaz then. Ek ibtidayi ittila ke mutabiq un tarikeen watan ko wapsi par 15 din ke liye ghar mein Quarantine mein rakha jana tha. Lekin 15 May ke ek hukum ke zariye usay 7 roza idaara jati Quarantine mein tabdeel kardiya gaya aur is ke baad ek aur hafta ghar mein allag thalag rehne ka hukum diya gaya aur ab un be sahara logoun ko ek din ke idaara jati Quarantine ke liye fi kas 300 rupiye ada karna hoga. Buses ka intizam karkay wapas anay walay un mazdoroun ney pehlay hi 2 Buses ke liye 4 lakh rupiye aur driveron ko tips ke tor par 8 hazaar rupiye kharch kiya hai, Unhoun ney itni badi raqam 10 feesad sood par bator karzz haasil kiya hai aur un se idaara jati Quarantine ke liye bhi raqam ada karnay ke liye kaha ja raha hai jisay Kerala jaisi doosri hakoomaten muft faraham kar rahi hain. Gujrat ke ilawa Karnataka aur Goa ney bhi riyasat mein wapas anay walay musafiroun ko bhi idaara jati Quarantine ko laazmi qarar diya hai kyunkay un hukomatoun ka khayaal hai ke idaara jati Quarantine Fees wusool karne se ek badi abadi ko riyasat mein wapas anay se roka ja sakta hai. Goa mein hukoomat ne elaan kiya hai ke wo idaara jati Quarantine sahuliyaat ke liye yomiya 1000 rupiye se 3000 rupiye tak wusool keregi. Jab ghar wapas honay walay afraad apne apne thikaane par hi muqarrar kardah muddat tak allag thalag rehne ke liye tayyar hain to ye ajeeb o ghareeb baat hai ke hakoomaten chahti hain ke un se badi raqum wusool karkay inhen idaara jati Quarantine ke tehat rakha jaye. Markaz aur reyastoun mein dayen baazu ki hukomatoun ki be hisi mulk ko ek baday insani bohraan ki taraf le jarahi hai. Uttar Pradesh hukoomat ne nangay paon paidal jaany walay mohajir mazdooroun ke liye Congress ki taraf se bandobast kiye gaye Buses ko bila waja wapas bhaij diya. SDPI qaumi General Secretary Abdul Majeed ne hukoomatoun se mutalba kiya hai ke wo mohajir mazdooroun ke masail ko insani hamdardi ki nazar se dekhen. Unhoun ne hukoomatoun par zor diya hai ke wo idaara jati Quarantine ke hukum ko wapas len aur ghar wapas anay walay afraad ko sahet ke hukkaam ki nigrani ke sath gharoun mein allag thalag rakhen taakay inhen gharoun mein bhi mushkilaat ka saamna nah karna pade. –YTN STAFF