Wednesday, May 15, 2024
HomeSliderICC ka nasal parasti ke khilaaf sakht muaqqaf

ICC ka nasal parasti ke khilaaf sakht muaqqaf

London: International Cricket Council nasal parasti ke sakht khilaaf hai aur council mukhtalif mumalik ki mukhtalif saqafatoun se talluq rakhnay walay apne khiladioun par nazaan hai. Siyah faam Americi shehri George Floyd ki mout se paeda soretehal ke pesh e nazar International Cricket Council ( ICC ) ki Governing body ne kaha hai ke khiladioun ki janib se mumkina ehtijaj ya muzahiroun se daneshwari Policies ke tehat nimta jaye is policy ke tehat muamlay ki hasasit ke peshِ nazar khiladioun ko ehtijaj se roka nahi jata aur un ke khilaaf koi karwai bhi nahi ki jati lekin khiladioun ko ehtijaj ki ijazat mehdood pemanay par di jati hai.

Aam tor par ICC aam tor par khiladioun ko siyasi, Mazhabi ya nasli sar garmioun par izhaar-e khayaal ki ijazat nahi deta. ICC ka ye bayan George Floyd ki police hirasat mein mout ke baad zor pakadney wali tehreek mein khiladioun ki badhti huvi shamoliat ke tanazur mein samnay aaya hai George Floyd ki mout ke baad cricket ke halqoun mein bhi nasli taasub ke khilaaf aawazian uth rahi hain. West Indies ke sabiq Captain Darren Sammy ne haal hi mein ICC par tanqeed karte hue kaha tha ke International Cricket Council aur tamam cricket boards mujh jaisay khiladioun ke sath pesh anay walay waqeat ko nahi dekh rahay. Kiya wo mujh jaisay logoun ke sath honay wali masharti na insafi par nahi bolainge.

Council ke tarjuman ke mutabiq ICC ko cricket platform se khiladioun ka muaqqaf munasib andaaz mein awam tak pohanchanay se ittafaq hai. ICC ki Governing body ney insidadey nasal parasti policy ko pehli martaba 2012 mein muta-arif karaya tha. Wazeh rahay ke ek martaba England ke fast bowler Jofra Archer ko New Zealand ke khilaaf khailay gaye match mein kuch tamashaiyoun ney rangat ki wajah se tazheek ka nishana banaya tha. Maamla uthnay par Jofra Archer ke sath tamashaiyoun ke ravayye par New Zealand ke khiladioun aur cricket board ney English Cricketer se maffi bhi mangi thi.