Hyderabad: Multi
National companies ( MNC’s) mein mulazmat aur Shandar tankhwahoun ka khawab har
nojawan dekhta hai aur hyderabad mein Hitec city dour-e-jadid mein mulazmatoun ka ek
markaz tasawwur kiya jata hai yahan duniya ki kayi Maroof companian moujood
hain jis mein Micorsoft , Google , IBM CISCO
waghera qabil-e-zikar hain hain lekin multi national companiyon mein mulazmat
ka ek manfi pehlu yeh bhi hai ke aeye din
kuch nah kuch aisi khabrain manzar-e-aam par aati hain jo mulazmat anjaam
dainay walon ke liye zehni dabao aur deegar masail ki wajah banti hain. is waqt
IBM se ek manfi khabar aa rahi hai jisakah company ne
darmiyani zamray ke kayi mulazmeen ko ohdon se bar tarf kar diya hai. IBM ke
hyderabad camps se 300 aisay professionals ko mulazmat se bar tarf kardiya gaya
hai jo ke banglore ke alawa dosray shehron se talluq rakhtay they jis ke baad
hyderabad se talluq rakhnay walay mulazmeen mein ek qisam ka khadsha paya jaraha hai .
IBM company mein senkdon mulazmeen ko
baghair kisi notice ke mulazmat se bartarf kardiya gaya hai jis ki wajah se woh
zehni tanao mein mubtala ho chuke hain. darin asna union yeh batanay se qassar
hai ke company ki janib se kitney mulazmeen ko ohdon se bar tarf kardiya gaya
hai lekin yeh koshish ki jarahi hai ke mehakma labour se jald az jald rujoo
hotay hue is masla ki yaksoi ki jaye. doosri janib company ka mouqoof hai ke
unhon ne jin mulazmeen ko ohda se bar tarf kiya hai woh kisi qisam ki koi
na-insafi nahi hai balkay naye Asri taqazoon ko poora karne ke liye yeh
iqdamaat kiye jaaane zurori they. maana ja raha hai ke yeh company ke sharait
ke mutabiq hi kiya jaaane wala faisla hai. IBM ki janib se ohday daaron ke bar tarf kiye
jaaane ke mutaliq tasdeeq ke liye rabita karne par is mein kamyabi haasil nahi
hui aur yeh nahi maloom hua hai ke hyderabad division ke kitney ohday daaron ko
bar tarf kiya gaya hai. doosri janib Ranga reddy zone ke labour department ke
joint commissionaire are chandrashekhar ne kaha hai ke un ke mehakmay ko is tarhan
ki koi shikayaat masool nahi hui hain taham woh is muamlay mein behtar tareeqay
se paish qadmi karenge .
IBM ke hyderabad camps se mulazmeen ko bar tarf kiye jaaane ki musadeqa tadaad
ka hunooz ilm nahi ho saka hai lekin IT zaraye ne kaha hai ke rawan season
companiyon ki janib se mulazmeen ko bar tarf kiye jaaane ka ek mizaaj chal para
hai. is khabar ke baad hyderabad se talluq rakhnay walay un mulazmeen mein
tashweesh ki lehar payi jati hai jo ke mukhtalif companiyon mein darmiyani
darjay ke ohdon par khidmaat anjaam day rahay hain aur inhen apni mulazmat
khatray mein honay ki wajah se zehni dabao ka saamna karna pad raha hai. yahan
is haqeeqat ko bhi nazar andaaz nahi kiya ja sakta ke multi national companiyon
mein mulazmat anjaam dainay walay afrad ki tarz zindagi aam Hyderabadiyoun se
kisi qader mukhtalif hoti hai kyunkay company se milnay wali achi thankhowa ki
wajah se unki tarz zindagi bhi kisi qader shahana hoti hai aur ab jabkay ke mulazmatoun par khatray ka nishaan lag chuka hai to un ke
zehnon mein zindagi ke akhrajaat bardasht karne ke liye liye dosray zaraye mojood
nah honay se se beshtar afraad zehni dabao ka shikaar ho chuke hain . –YTN
STAFF