Bijnore: Ek IAS ka taalib-e-ilm jo mubaiyana tor par insidaad shehriat tarmeemi qanoon ( CAA) ke khilaaf muzahiroun ke douran police ki Firing mein halaak hua tha, ke ahal-e-khanah ne is waqeye mein mulawis 6 police ahelkaar unke khilaaf shikayat darj karai hai.
20 Decemeber ko, jab Bijnore zila ke nehtoor gaon mein tashadud phoot padha, 21 sala ans, aur 20 sala Sulaiman ko mubayyana tor par police ne nishana banaya.
Dono ko muqami hospital lejaya gaya, jahan Anas ko murda qarar diya gaya aur ilaaj ke douran Sulaiman zakhamoun ki taab na laakar chal basa. Baad azan, Uttar pradesh police ne aiteraaf kiya ke unki golion se Sulaiman nahi balkay Anas ko halaak kiya gaya. Sulaiman ke ahal-e-khanah ne un 6 police ehalkaroun ke khilaaf shikayat darj karai hai, jis mein ye ilzaam lagaya gaya hai ke CAA ke khilaaf ehtijaj ke douran police ki janib se usay goli maardi gayi thi.
Shikayat ke mutabiq, Sulaiman ke ahal-e-khanah ne ilzaam lagaya ke wo jummay ki namaz ke baad ghar wapas aarhaey thay, jab un par station house officer ( SHO ) rajesh solanki, Bijnore incharge ke alawa kuch constables ne ilzaam lagaya tha. Ahal-e-khanah ka daawa hai ke police ahelkaar Sulaiman ko ghaseet kar ek gali mein legaye, jahan constable, jiski shanakht mohat ke tor par hui hai, ne dosray officers ke kehnay par Sulaiman ko goli maardi.
Shikayat mein ye bhi daawa kiya gaya hai ke is waqeye ko ilaqay ke bohat saaday logoun ne dekha hai jo police ehalkaroun ke khilaaf baat karne se bazahir khaufzadah hain. Sulaiman ke ahal-e-khanah ne ye bhi daawa kiya hai ke police ne usay gali mein hi marnay ke liye chodh diya tha aur jab kumba ke log usay muqami hospital legaye, jahan doctoroun ne usay murda qarar day diya. is ke baad, police ne post mortem ke liye na-ash ko apne paas rakha aur 21 decemeber ko na-ash lawahiqeen ke hawalay kardi.
Police ne mubayyana tor par ahal-e-khana ko iske aabadi gaon nehtoor mein Sulaiman ki laash ko dafan karne ki ijazat nahi di. 20 sala Sulaiman apni civil services ke dakhla ke liye imthehaan ki tayari kar raha tha aur CAA mukhalif muzahiroun se iska koi talluq nahi tha. Uttar pradesh ke director general police om prakash singh ne aiteraaf kiya hai ke riyasat mein police firing se sirf ek shaks ki mout hui hai.
Bijonre Uttar pradesh ke un azlaa mein se ek hai jo CAA ke khilaaf muzahiray ke douran tashadud se mutasir hua tha. jahan Muzahireen aur security forces mein tassadum hua tha. Uttar pradesh mein yogi adtiyanath hukoomat ne pehlay hi ek khusoosi investigation team ( SIT ) tashkeel di hai, jo riyasat mein CAA ke khilaaf haliya muzahiron ke douran tashadud ke waqeat ki tehqiqaat karegi. –YTN STAFF