Monday, September 16, 2024
HomeHyderabadHyderabadi awam mein barqi gadiyon ke istemaal ka badhta rujhan

Hyderabadi awam mein barqi gadiyon ke istemaal ka badhta rujhan

Hyderabad: Kiya hyderabad aahista aahista aur mustaqil tor par  hamal wo naqal mein ek nai tabdeeli ka shehar bankar ubhar raha hai?  iska jawab haan mein ho sakta hai kyunkay is waqt nawabon ke shehar  may kayi aur kaafi isharay mil rahay hain ke  shehar mein ziyada se ziyada log batadreej barqi gadiyon ka rukh kar rahay hain. Regional transport authority ( RTA ) ke adaad wo shumaar ke mutabiq greater hyderabad ke ilaqay mein ab 10000 se ziyada badqi gadiyaan mojood hain, jin mein se 4535 battery se chalne wali gadiyaan 4541 hybrid diesel barqi gadiyaan aur 1778 hybrid petrol electric gadiyaan hain.

Jab is tadaad ka muqaabla kuch saal pehlay aisi gadiyon ki tadaad se kiya jaye to is mein zabardast izafah record hojata hai. saal 2016 tak hyderabad mein sirf 25 badqi gadiyaan chal rahi theen.  Sirf chaar saloun mein iski tadaad 4535 hogayi hai, jabkay Diesel barqi ya petrol electric gadiyaan bilkul nahi theen.  Fil haal TSRTC shehar mein 40 mukammal tour per barqi gadiyaan chala rahi hai. Taraqqi is tarhan rahi hai ke lockdown ke bawajood saal 2020 mein battery gadiyon ki tadaad mein 1360 ka izafah dekha gaya, halaanke saal diesel electric aur petrol barqi gadiyon ki farokht mein itna acha izafah nahi tha.

Telangana electric vehicles and energy storage policy 2020-2030 barqi gadiyon ko taiz raftari se  apnane mein agay badhne ke liye tayyar hai to andaza kiya jasakta hai ke Hyderabad mein barqi gadiyon ke izafah mein kis raftaar ke sath hoga.  Is policy ke tehat reyasti hukoomat ne telangana mein kharidi aur registered

honay walay pehlay 2 laakh electric 2 phaiyon ke liye road tax aur registration fees ki sad feesad chhuut ki paish kash ki hai.

RTA joint tansport commissionaire ( IT and vigilance ) S.Ramesh ke mutabiq electric mobliti mein mustaqil taraqqi horahee hai aur ziyada se ziyada log un gadiyon ko munasib electric vehicle ( EV) charging stationon ki madad se istemaal karenge. Electric gadiyaan ziyada tar motocycyles hain.  Hamein umeed hai ke road tax aur registration fees ki sad feesad chhuut awam ko barqi gadiyaan jo mahol dost hain aur tawweel arsay mein paisa bachanay ke liye hosla afzai karegi.