Sunday, May 11, 2025
HomeSliderHyderabadi awam ki janib se Australia aag mutasireen ki maali imdaad ke...

Hyderabadi awam ki janib se Australia aag mutasireen ki maali imdaad ke liye Sydney mein Cricket Tournament

Sydney: Mehman nawazi ho ya phir mushkil waqt mein kisi ka sath dena shehar Hyderabad ka naam sare fehrist hota hai aur aisi kayi misalein mojood hain ke beroun mumalik muqeem Hydraabadi awam ne apni insani hamdardi ka saboot maizban mumalik ke awam ki madad karte huve diya hai. Haliya dinoun mein Australia ke jungloun mein lagi aag ne jo tabai machai thi wo sab par ayaan hai. Aag se mutasir honay walay afraad aur khandano ki baazyabi ke liye jahan duniya bhar ki tanzmioun ne apne apne tor mukhtalif andaaz mein maali taawun faraham karne ke liye apni khidmaat anjaam di wahein Australia mein muqeem Hyderabadion ne apne tor par kayi aisay Programs munaqqid kiye jis ke zareya Fund akatha kiya jasakay aur aisa hi ek insaaniyat dost kaam Australia Indian Welfare Association ( AIWA ) ne anjaam diya.

AIWA ke naib sadar Syed Nazeer Ahmed ( Meraaj ) ne Hyderabadi Media numaindoun se izhaar khayaal karte huve kaha ke Australia mein aag se mutasirah afraad ki baazyabi aur maali madad ke liye un ki tanzeem ne 8 din taweel ek Cricket Tournament ka ihtimaam kiya taakay is Cricket Tournament se haasil honay wali raqam ko Relief Fund mein diya jasakay. Sydney mein munaqidah is Tournament mein jahan khetabi muqablay mein Sydney Charges ne desi Dude ko shikast di. Tournament se haasil honay wali aamdani imdadi kaam ke liye istemaal ki gayi aur ye raqam Bushfire imdaad ke liye Cumberland Central Fundament jama karwadi gayi. Yahan is baat ka tazkara bhi ahem hai ke mairaaj ka talluq Hyderabad se hai jo kay Australia Indian Welfare Association ( AIWE ) ke naib sadar honay ke ilawa Sydney mein kayi ek flahi kamoun mein fa-aal aur mutharrak honay ke sath hindustani aur khaas Hyderabadioun ko Sydney mein madad aur rahnumai karne mein hemsha agay rehtay hain.

Mazkoorah Cricket Tournament ke waqt Meraaj ke ilawa AIWA ke sadar Khalid Tabraiz Khan Ghori, Haaji Rizwan, AIWA rehnuma Owaisi Khan Ghori, ( Lala ), Pakistani Cricket Captain Moti, Dr Sameit Community rehnuma, Azeem, Khazeer Khan , Syed Nazeer, Syed Aateq Ul Rehman , Sirajuddin, Mohammed Rafeeq , Mudasser Shah aur deegar mojood they. Yaad rah ke Australia ke jungloun mein lagi aag ki wajah se darjanoun afraad aur crores janwaroun ko apni zindagi se haath dhona pada hai jabkay is se honay walay nuqsanaat ki pabajayi aasani se mumkin nahi. –YTN STAFF