Sunday, May 11, 2025
HomeHyderabadHyderabadi awam Helmet na pahannay walay Hindustanyoun mein sab se agay

Hyderabadi awam Helmet na pahannay walay Hindustanyoun mein sab se agay

Hyderabad: Awam ki hifazat aur hadsaat mein sharah amwaat ko kam karne ke liye Helmet ke istemaal ko lazim qarar diya gaya aur is qanoon ki khilaaf warzi par bhaari jurmanoun ke sath saza bhi muqarrar ki hai lekin is ke bawajood Hindustan ke ahem shehroun mein awam Helmet ke istemaal se hanoz guraiz kar rahay hain. Hindustan ke kis ahem shehar mein awam Helmet ka istemaal kis had tak kar rahay hain is zimn mein ek mutaleya (Survey) kiya gaya.

Helmet ke istemaal se mutaliq is Survey mein Hyderabad ku 14 we maqam haasil huva hai jabkay Delhi, Mumbai aur Bangaloru shehroun ne ibtidayi 3 maqamat par qabza kiya. Is Survey ke adaad ow shumar se zahir hota hai ke Hyderabadi awam hadsaat mein Helmet ki ifadiyat saabit karne ke mutadid waqeat ke bawajood Helmet istemaal karne se gorezan hain. Ye Survey ICICI Lambard Helmet Survey 2020 ke zareya kiya gaya tha jis ne nataij ka elaan kiya.

Is Survey mein mulk bhar ke 18 shehroun mein 2400 se ziyada Motorcycle sawaroun ka namona liya gaya aur 18 se 35 saal ke darmain Motorcycle sawaroun se baat ki gayi aur un se Helmet pehannay walay sawaroun ( pichli nishet par sawari karne walon ) ki zaroorat par sawal uthaye gaye aur nataij bar aamad huve. Survey karne walay afraad ka muaqqaf hai ke Bike ki pichli neasht par sawari karne walay Helmet pahannay se nazar andaz kar rahay hain kyunkay yahan qanooni majburiyoun ki koi pabandi nahi hai. Taham unhoun ne jawab diya ke inhen hadsaat mein apne aap ko bachanay ke liye Helmet bhi pehnana chahiye.

Interview karne waloun mein se aksariyat ka khayaal hai ke jo bachay pichli nishet par sawari karte hain inhen Helmet itni zaroorat nahi hoti hai jitna ke khawateen ko hamesha Headgear pehnana chahiye. Pichli nishet par sawari karne walay afraad mein Helmet pahannay ki aadat ke zimn mein jo Survey kiya gaya hai is mein Hyderabad aur Vijayawada ki darjaa bandi 14 aur 15 hai. Delhi mein 63 feesad afraad jo kay Bike ki pichli nishet par sawari karte hain wo Helmet pehantay hain, Jabkay Guwahati ke 58 feesad logoun ne Helmet pehan rakha hai. Hyderabad mein sirf 5 feesad aisay afraad hain jo kay pichli nishet par sawari karte huve Helmet pehantay hain aur 3 feesad Vijayawad mein aisay afraad hain jo kay pichli nishet par sawari karte huve Helmet pehantay hain.

Is sawal ke jawab mein ke kya Helmet mehfooz safar faraham karta hai, Interview karne waloun mein se 99 feesad ne haan kaha, Jabkay 87 feesad afraad ne kaha ke wo jurmane ayed karne walay Police ke ghusse aur khauf ki wajah se Helmet pehantay hain.Hyderabadion ne ye kehte huve jawab diya ke wo Helmet pehnay baghair ostan kam se kam 32 kilo Meter safar karte hain. Ahmedabad ke awam 43 Kilo Meter ka safar karte hain, Jabkay Pune ke loog baghair Helmet ke 41 Kilo Meter safar karte hain. Isi terhan, Indore aur Lucknow ke awam baghair Helmet pehnay 35 kilometer safar karte hain. Vijayawada ke loog baghair Helmet pehnay 30 kilometer safar karte hain. Delhi ke rehaishi baghair Helmet ke sirf 14 kilometer ka safar karte hain. Agar safar karne ka faasla kam hai aur jin ilaaqoun mein Traffic Police nahi hogi, To Hyderabadion ki Helmet nahi pehnay huve afraad ki tadaad bal tarteeb 79 feesad aur 75 feesad hai. Majmoi tor par, 68 feesad Hyderabadi, Vijayawada ke 53 feesad awam ne kam Traffic sadkoun par baghair Helmet safar karne ke liye pehlay 2 maqamat par qabza kiya. –YTN STAFF