Friday, May 3, 2024
HomeOthersHealthHyderabadi 20 taa 30 sala khawateen mein hi amraaz-e-qalb ke khadshaat

Hyderabadi 20 taa 30 sala khawateen mein hi amraaz-e-qalb ke khadshaat

Hyderabad:  Hyderabadi khawateen jin ki umrein 20 taa 30 saal ke darmiyan hai, unke liye yeh sochna ab ghalat hoga ke bemariyan 40 saal ya is se zayed ki Umar mein aati hain kyunkay ek nai tahaqeeq mein yeh inkishaaf kiya gaya hai ke Hyderabadi khawateen jin ki umrein 20 taa 30 saal ke group mein hain, un mein metabolic tabdeelian runuma horahee hain is se amraaz-e-qalb ke khadshaat 22 guna ziyada ho chukay hain.

khawateen mein amraaz qalb ke unwan se kiye jane walay tehqiqati mutalea mein khaas kar sanati ilaqay Jedimetla ke atraaf ke khawateen par 2018 ke ibtidayi 3 mahino ke douran jo tehqiqaat ki gayi thi is ki roshni mein yeh inkishafaat kiye gaye hain ke kam az kam 3.7 feesad aur 2.5 feesad aisay namoonay jo tamam Hyderabadi khawateen se haasil kiye gaye hain un mein metabolic ki be qaigiyan mojood hain jis se amraaz-e-qalb ke khadshaat badh chuke hain. un khawateen mein amraaz qalb ke jo teen darjaat banaye gaye hain jo ibtidai, darmiyani aur Inteha hai.

Un mein ziyada-tar khawateen ka shumaar ibtidayi Zumra mein kiya gaya lekin un khadshaat ko nazar andaz bilkul nahi kiya ja sakta ke yeh khawateen aindah barson mein darmiyani aur sangeen noiyat ke Zumra mein shaamil ho jaiengi. Hyderabadi khawateen jinki umrein 20 taa 30 baras ke darmiyan hain, un par tehqiqaat ke baad ab kaha ja raha hai ke woh amraaz-e-qalb mein ba-aasani mubtalal hosakti hain kyunkay un tarz zindagi aur ghiza istemaal karne ki adaten amraaz-e-qalb ko dawat day rahi hain.

20 taa 30 saal ki Umar ki jin khawateen ne is tehqiqati mutalea mein shirkat ki is mein 29.7 feesad aisi khawateen hain jin mein metabolic be qaigiyan honay ke ilawa amraaz qalb ki nishandahi bhi ki jarahi hain.

Metabolic be qaigiyan ki do nishani hoti hain jin mein khoon ka dabao BP ) ka badh jana aur cholrestrol ke sath glucose ki miqdaar bhi jism mein badh jana hai. is zimn mein izhar-e-khayal karte hue Dr ne kaha ke mazkoorah do alamtoun ke zahir honay ke baad khawateen ko chahiye ke usay nazar andaz nah karen balkay amraaz-e-qalb ki aamad ki dastak tasawwur karte hue foran apni tarz zindagi, ghizai aadaat ko tabdeel karne ke sath Dr se rujoo bhi hon. –YTN STAFF