Saturday, April 20, 2024
HomeHyderabadHyderabad ya Bhagyanagar, faisla ki ghadi aagayi, Mehdipatnam ka nateeja sab se...

Hyderabad ya Bhagyanagar, faisla ki ghadi aagayi, Mehdipatnam ka nateeja sab se pehlay aanay ka imkaan

Hyderabad: Mukhtalif siyasi jamaaton ke naamwar aur azad umeed waar apni saans rok kar apni qismat ka intezaar kar rahay hain kyunkay GHMC intikhabaat mein voton ki ginti ka aaghaz hochuka hai aur Mehdipatnam division ka nateeja pehlay elaan honay ka imkaan hai.

Agarchay tamam 30 ginti marakaz par subah 8 bajey shuru honay wali voton ki ginti ka waqt dopehar mein anay ki umeed hai aur Mehdipatnam division ka nateeja pehlay elaan kiye jane ka imkaan hai kyun ke yahan voton ki ginti sirf ek marhalay mein hojayegi. Is division mein sirf 11,818 vote daaley gaye hain.

Baqi 149 divsions mein se 136 divsions ko nataij ke elaan se qabal ginti ke do daur ki zaroorat hogi. 13 divsions mein ginti ke teen daur honge. uppal, kanchan bagh, Mailardevpally, rehmat nagar, Allahpur, amberpet, kondapur, old Bowenpally, subhash nagar, gajolaram, tarnaka, aur sitaphal mandi qabil-e-zikar hain.

Baqaida Ballot papers ki ginti, 1,926 postal ballots ki ginti ke baad shuru hogi aur isko do marahil mein shuru kiya jayega. ibtidayi ginti ke baad tafseeli ginti hogi. tafseeli ginti mukammal honay ke baad nataij ka elaan kiya jayega. yaad rahay ke mangal ke din 150 divsions mein hue raye dahi mein 74,12,601 ahal-e-voters mein se 34,50,331 afraad ne apne haq raye dahi se istifada kiya aur ek takhminay ke mutabiq 46.55 feesad voters ne apne haq raye dahi ka istemaal kiya. Darin Isna , reyasti election commission (SEC ) aur GHMC hukkaam ne kaha ke security iqdamaat samait tamam intizamaa, 30 marakaz par ginti ke aasani se ineqad ke liye kiye gaye hain. jabkay 8,152 amlah ginti ke amal mein shaamil hai. TSEC ne is amal ki nigrani ke liye 31 senior ohdedaron ko counting aabzaroor ke tor par bhi muqarrar kiya hai.