Hyderabad: Shehriat Tarmeemi Act ke khilaaf Bahujan Kranti Morcha ( BKM ) ki janib se manee jaaney walay ”Bharat Bandh“ ka Hyderabad aur Telangana ke deegar shehroun mein mila jula asar raha.
Hyderabad ke Muslim aksriyati ilaaqoun mein dukanain, Karobari idaray aur taleemi idaray band rahay, Jabkay shehar ke deegar ilaaqoun mean band ka koi asar nahi huva. Purane shehar aur Hyderabad ke deegar Muslim aksriyati ilaaqoun mein Schools aur Colleges ko chhutti di gayi thi.
Mukhtalif Trade Unions ne BKM ke qaideen aur Maulana Khaleel ul Rehman Sajjad nomani ki taraf se elaan kiye gaye is band ki himayat ki thi. Tareekhi Charminar ke aas paas aam chehal pehal kam thi, Kyunkay is band ke elaan ke silsilay mein dukandaroun ne apne dukanaat band kiye they.
Band dukanoun ke samne, CAA, NRC ke naaroun walay Banners aur Poster lagaye gaye they. Ek poster par likha tha ”Hindustani Passport ke zareya aap apne mulk ke siwa duniya ke tamam mumulik mein khud ko hindustani saabit kar satke hin“.
Bahujan Kranti Morcha ( BKM ) ke kuch hamioun ko Police ne is waqt hirasat mein liya, Jab unhoun ne shehar ke west mein Tank Bond ke qareeb Ambedkar mujasma par ehtajaji dharna diya. Unhoun ne shehriat tarmeeni Act ( CAA ), National Register of Citizenship ( NRC ) aur National Population Register ( NRP ) ke khilaaf naaray lagaye.
Telangana ke shehroun, Nizamabad, Karimnagar aur Adilabad jaisay sheroun mein, Musalman taajiroun ne bhi band ka mushaheda kiya. Mukhtalif Groups ke kaarkunon ne Nizamabad mein Rally nikaali aur CAA, NRC aur NPR ko wapas laine ka mutalba kiya. –YTN STAFF