Sunday, April 20, 2025
HomeHyderabadHyderabad Shehar, hadsoun ka shehar banney laga

Hyderabad Shehar, hadsoun ka shehar banney laga

Nashay ki haalat mein Driving ke khilaaf mahana hazaron muqadmaat tashweesh naak

Hyderabad: Raat ki tareeki jab aati hai to awam ke liye masail badhatay hain jabkay shehri zindagi bhi raat ki tareeki ke sath kayi aik masail le kar aati hai yahi wajah hai ke Hyderabad aur is ke muzafati ilaqoun mein khaas kar raat ke auqaat me Noshi ke sath Driving ki wajah se Sadak hadesaat mein din ba din izafah ho raha hai, halaan ke nashay ki haalat mein Driving karne walon ke khilaaf Traffic Police aur qanoon nafiz karne walay idaron ki janib se sakht tareen eqdamaat kiye ja rahay hain lekin is ke baad har chand din mein aik aisa waqhiya zaroor runuma hota hai jis mein Nashay ki haalat mein Driving sadak hadsaat aur musafireen ki mout ki khabrain padhnay mein aati hain.

Rawan haftay Hyderabad ke muzafati ilaqay Yadgiri Gutta ke qareeb paish aaya jahan College ki salana taqreeb mein shirkat karne ke baad Hyderabad ke apne makanaat wapas lotney walay Noujawanon ki aik toli taiz raftaar Gaadi ke sadak haadsay ke baad mout ke neend so chuki hai. 5 tulba jo ke College ki salana taqreeb mein shirkat karne ke baad shehar wapas lout rahay they lekin nashay ki haalat mein Driving ki wajah se un ki Car jo ke 120 kilometer fi ghanta ki raftaar se daud rahi thi haadsa ka shikaar hogayi aur is haadsa mein paanch tulba mein chaar ki pehlay hi mout hogayi, jis mein 22 saal ki Parnita jis ka talluq Chadarghat se tha, Kotapet ka 22 saal ka Sapurti Reddy, Mirpet ka 23 sala Chetnaiya aur 30 saal ka Vineet Reddy ki mout waqay hogayi. Yeh Noujawan dost College ki taqreeb mein shirkat karne ke baad jab Hyderabad wapas lout rahay they to Naginpally mein raat 11 baj kar 20 minute Par unki car taiz raftari ki wajah se be qaboo hogayi kyunkay car ki raftaar 120 kilometer se bhi ziyada thi jabkay yeh College ki taqreeb mein mouj masti kar shehar hyderabad wapas lout rahay they. Unhon ney achi khasi miqdaar mein mey noshi ki thi.

Hyderabad aur is ke muzafati ilaqon mein nashay ki haalat mein Driving karne ke har mah hazaron muqadmaat darj kiye jarahay hain jis mein kayi afraad ko Jail ki salakhon ke peechay bhi jana pad raha hai. Is ke ilawa kayi afraad ke Driving Licence ko mansookh karne ke ilawa un par bhaari jurmana bhi ayed kiya ja raha hai. Agar sirf guzashta mah April ke adad o shumaar dekhen jayen to nataij kaafi tashweesh-naak hain kyunkay sirf mah April mein 2282 nashay ki haalat mein driving karne walon ke khilaaf muqadmaat darj huwe hain, jinhein teesray aur chouthay Metropolitan Migestrage Court Nampally mein paish kiya gaya jis par adalat ney 498 afraad ko jail ki saza sunai. Jin afraad ko jail ki saza huwi un mein aik mulzim ko aik mahinay ki qaid, 26 afraad ko das din ki qaid, 45 afraad ko saat din ki qaid, 8 afraad ko chay din ki qaid, 21 afraad ko paanch din ki qaid, 21 afraad ko chaar din ki qaid, 42 afraad ko teen din ki 125 afraad ko do din ki qaid, tenu afraad ko aik din ki qaid jabkay 116 afraad ko adalat ki karwai mukammal honay taq kahin jaaane ki ijazat nahi di gayi.

Jahan tak driving licence ko mansookh karne ki saza ke adad o shumaar hain is mein chaar afraad ke Driving Licence ko hamesha ke liye mansoob kardiya gaya hai jabkay 163 aisay afraad hain jin ke Driving Licence ko saat din taa teen saal ke liye mansookh kardiya gaya hai. 17 afraad ke Driving Licence ko teen saal ke liye, 29 afraad ke Licence ko do saal ke liye, 16 afraad ke Licence ko daidh saal ke liye, 40 afraad ke Licence ko aik saal ke liye, 59 afraad ke Licence ko chay mah ke liye jabkay chaar mah aur saat din ke liye fi kis aik fard ke licence ko mansookh kardiya gaya hai.

Police aur adalat ki janib se sakht tareen iqdamaat aur sazaon ke bawajood shehar hyderabad mein nashay ki haalat mein Driving ke baadtey waqhiyat tashweesh naak hain jis ney aam shehrion ko pareshan kardiya hai kyunkay behtar haalat mein apni manzil maqsood ki simt rawan dawaan rehne ke bawajood hamesha yeh khadsha laga rehta hai ke doosri koi gaadi jis ka chalanay wala nashay mein to nahi hai jis se haadsa ho sakta hai. Nashay ki haalat mein Driving aur hadsaat ke waqhiyat khaas kar hafta aur itwaar ki raat ziyada ho rahay hain kyunkay yeh woh ayyaam hain jis mein aksar Noujawan nasal taqrib mananay aur Companiyon ki Partiyon mein me noshi mein masroof rehti hai aur der raat gay gharon ki wapsi ke douran yeh kisi haadsay ka shikaar hokar apni aur dosaron ki jaan ke liye msbit ban rahay hain.