Tuesday, May 21, 2024
HomeHyderabadHyderabad se chicago raast parwaaz ka January se Aaghaz

Hyderabad se chicago raast parwaaz ka January se Aaghaz

Hyderabad: Ek janib corona ki wajah se Bain-ul-aqwami parwazein buri tarhan mutasir hain to doosri janib  ahem peshraft mein GMR ki zair-e-qayadat Hyderabad ki janib se elaan kiya gaya hai ke qaumi carier Air India Hyderabad se chicago ke liye January 2021 mein raast parwazein shuru karega. Airlines ke janib se kaha gaya hai  ke yeh naya non stop route hyderabad ko USA mein chicago se jodta hai jo hamari raabtey ki khwahish ki fehrist mein kuch arsay se raha hai.

Hamein khushi hai ke yeh hamara apna qaumi Air India carrier hai   jis ne is khidmat ka aaghaz kiya hai.  Is rastay ka aaghaz hamaray tamam musafiron ke liye do manzlon ko qareeb lata hai, jo hyderabad se America jane wali barah-e-raast parwaaz ka be sabri se intzaar kar rahay hain.  Hyderabad international airport hamesha musafiron ki maang ko poora karne ke liye behtareen maqamat ko jornay ke liye pur-azm raha hai.

Hum hifazat ke aala per tawajjah  markooz karte hue mazeed shehron, mulki aur Bain-ul-aqwami Manazil se munsalik honay par mustaqil tor par kaam kar rahay hain.  Hyderabad- USA, hyderabad, Hindustan aur America ke mabain sab se bada musafir origin and manzil maqsood market raha hai, jahan salana 7 laakh musafiron ki gunjaish hai.

Telangana aur Andhra Pradesh  se taaluq rakhnay wala Telugu tarkin watan America mein taizi se badhti hui jamaaton mein se ek hai.  Takhmine ke mutabiq har choutha taalib-e-ilm Hindustan se taleem haasil karne ke liye beron mulk safar karne wala shakhs hai.  Airport se jari ek sarkari press release mein kaha gaya hai ke har saal ghair mulki talba ke America jane walay Hindustan ka dosra sab se bara zareya hai.