Friday, May 17, 2024
HomeLatest NewsHyderabad sardi ki lapate mein, guzashta 10 barson ka dosra aql tareen...

Hyderabad sardi ki lapate mein, guzashta 10 barson ka dosra aql tareen darja-e-hararat record

Hyderabad: Hyderabad mein November ke mahinay ke aaghaz par hi sardi ki lehar ne guzashta 10 barson ka record todnay par nazrain jamali hai kyunkay rawan mah ke ibtida mein hi sardi ne guzashta ek dahe ke douran dosra kam tareen darja hararat record karwa diya hai aur Hyderabad mein kam se kam darja-e-hararat 12.8 degree centigrade tak gir gaya hai jo mamool se kam 5.8 degree centigrade kam hai.

Mehakma mosmiyat ne apne adaad-o-shumaar jari kiye hain jis mein kaha gaya hai ke pichle 10 saal mein hyderabad mein is se kam darja-hararat record kiya gaya tha jo 2 martaba 12. 4 degree centigrade record hua tha.

18 November 2012 aur 11 November 2016 ko ye adaad-o- shumar darj kiye gaye thay. alawa azeen Telangana ke beshtar deegar hisson mein bhi mamool ke kam se kam darja hararat se 5 se 6 degree centigrade kam record kiya gaya.

Bhadraachalam mein mamool se kam darja hararat 4.6 degree centigrade record kiya gaya. Hanamkonda mein 14 degree centigrade record kiya gaya jo ke mamool se 6.6 degree Celsius kam hai. Ramagundam mein 14.1 degree centigrade record kiya gaya jo mamool ke kam se kam darja hararat se 4.9 degree centigrade hai. IMD ne paish-e-qiyaasi ki hai ke aanay walay 2 din mein riyasat bhar mein mukhtalif maqamat per maamol se kam se kam darja hararat 3 se 4 degree centigrade tak kam rehne ka imkaan hai.

Telangana state development planning society ke mutabiq sangareddy zila ke kohir mein mangal ke roz riyasat mein sab se kam darja hararat 7.1 degree centigrade raha jabkay junoobi telangana ke mutadid ilaqon mein kam se kam darja hararat 7 se 15 degree centigrade ke darmiyan record kiya gaya. Iske alawa TSDPS ke adaad o shumaar ke mutabiq greater hyderabad hudood mein Rajendar nagar mein 10.4 degree centigrade tak record kiya gaya. Riyasat-e-telangana mein darja hararat mein kami shumal maghribi hawaon ki wajah se hai.