Monday, May 6, 2024
HomeHyderabadHyderabad plastic ke bojh taley dabnay laga

Hyderabad plastic ke bojh taley dabnay laga

Hyderabad : Telangana pollution control board ke mutabiq Hyderabad mein rozana 517.8 ton plastic ka kachra ya salana taqreeban 1,88,997 kachra paeda hota hai. agar fi kas plastic ke istemaal par ghor kiya jaye to shehri idaara ko 9 laakh abadi ke liye 1,08,000 tan plastic ke kachra ko qaboo karne ka challenge darpeish hai. un halaat mein mahireen ne kaha hai ke Hyderabad plastic ke kachray mein doob raha hai.

Shehar ka nikasi aab ka Nizam plastic ki wajah se bhara padha hai jiske nateejay mein monsoon ke douran kayi ilaqay zair-e-aab ho jatay hain aur sailab jaisi soorat-e-haal paeda hoti hai. Musa nadi par shehar mein daakhil honay ke waqt se hi tertay plastic ki ek parat hoti hai jahan se yeh Nagole ke qareeb se nikalti hai. Ek apartment ke complex mein kaam karne walay balraj ne kaha hai ke hamein bottloun ke liye fee kilo 15 rupaye mlitay hain. jisko hum kachray se nikaltay hain jiske baad yeh katedan transfer station muntaqil hojata hai. is complex mein 90 makanaat hain. Bal raju ek darjan apartments mein kaam karta hai aur plastic ki farokht se haasil honay wala paisa ek chota sa bonus hai jo woh 4 deegar afraad ke sath baantta hai, jo tipper truck chalatay hain.

khushk aur giley kachray ko alag karna unka kaam hota hai kyunkay iske zareya ziyada tar kodey ko kuchalna hi asal maqsad hota hai. GHMC ne shehar mein kachray ko alag karne mein madad ke liye 12 latters ke sabz aur neelay rang ke 44 laakh dabbay taqseem kiye hain jiski wajah se ab gharelo tokriyon mein se ziyada tar gayab hochuki hain. balraj ne kaha hum ne khushk aur geelay kachray ko alag karne ke baray mein tarbiyat haasil ki lekin miqdaar itni badi hai, hum usay nahi kar saktay hain. 2015 ke central pollution control board ke mutalay ke mutabiq, Hyderabad mein 29.9 nakara plastic ka kachra kam kasafat wali polythene aur Aala kasafat wali polythenes ka murakkab hai. taqreeban 5.22 PAT aur PUC hai. jabkay HDPA , PAT aur PUC ko re-cycle kiya jaraha hai jabkay LDPA nahi hai. chunkay acha plastic aur kharab plastic ki motai aur istemaal se iski wazahat hoti hai, iski wajah se hi is ke istemaal ko roknay ki koshisho mein rukawat paeda hui hai.

Plastic ke maslay se nimatnay ke liye pehla qadam 2013 mein uthaya gaya tha. GO46 ne 2011 ke qanoon ki darkhwast ki thi. koi bhi shakhs aam ya re-cycle ya compostable plastic se banay hue kisi bhi samaan ki tayari, stock, taqseem ya farokht nahi karega, jiski motai 40 micros se kam hai. doosri shart yeh bhi thi ke dukanat ke zareya sarfeen ko unke dobarah istemaal ki hosla afzai ke liye koi carry bag muft faraham nahi kiya jayega taakay plastic ke kachray ki paedawar ko kam se kam kiya jasakay. is mein sakht jurmane shaamil they, jahan 50 hazar rupay Manufacturers jurmana aaed kiya gaya tha jabkay theliyan istemaal karne walay sarfeen ya dukandaron ko dhai hazaar se 5 hazaar ke darmiyan jurmana aaed kiya gaya tha. infiradi afraad ko plastic ke istemaal par 250 taa 500 rupaye tak ka jurmana aaed kiya gaya.

Wazeer-e-Azam Narendra Modi ne laal qilay se yom-e-azaadi ke mauqa par plastic ki rok thaam ke baray mein elaan kiya to riyasat Telangana ne is istemaal ko roknay ke liye koshishen shuru kardi thi. plastic ke thelay tayyar karne wali firms mein 50 micron se patla pan tha. patli plastic ke thelay istemaal karne par kuch khanay peenay walon ko bhi jurmana aaed kiya gaya hai.

Plastic ke khilaaf ye jung jald khatam honay wali nahi hai. sanat ke takhmine ke mutabiq, hindustan 2019-20 mein 15,788 ke TA ( salana kilo ton ) plastic ya taqreeban 1,578, 80,00,000 kilo plastic taiyar karta hai. is mein se 41.46 feesad plastic reliance industries ltd taiyar karta hai. plastic ki fi kas khapat ka takhmeenah 12 kilo gram hai. is ke bar-aks Re-cycling ki salahiyat 2017-18 mein 5.5 MMton ( million metric ton ) se mamooli had tak hi badhi hai jo 2019-20 mein 7 MMT hui hai. –YTN STAFF