Hyderabad: National Investigation Agency ( NIA ) ne phir ek martaba Hyderabad ke noujawanoun ko Abu-Dhabi 2016 ke muqadma ke zimn mein ISIS ke sath rawabit ke shoba mein girftar kiya hai. Shastripuram mein kings colony se noujawan Taha ko girftar kiya hai jis ke baad shehar-e-Hyderabad par phir ek martaba siyah baadal chaa chuke hain .
Shehare Hyderabad ke noujawanon par pehlay se hi takhreeb kariyon mein mulawis honay ke shuba par police ki gehri nazar hoti hai aur aaye din yahan chaapay maartay hue nojawanon ko girftar kiya jata hai jin par kayi ek sangeen tareen dafaat ke tehat muqadmaat darj karte hue inhen salakhon ke peechay dahkel diya jata hai halaanke is mein aksariyat be-qusoor noujawanon ki hoti hain .
Rawan haftay shehar hyderabad ke teen maqamat par National Investigation Agency ki janib se chaapay maaray gay hain jo darasal dehshat gard tanzeem Islamic state se hyderabadi nojawanon ke rawabit aur dehshat gardi mein mulawis honay ke ilzamaat ke tehat ki jaane wali tehqiqaat hain, halaanke abhi to is muamlay mein giraftari amal mein aayi hai jabkay haqayiq manzar-e-aam par bhi nahi aaye hain lekin muslim mukhalif jamaten aur siyasi qaideen ne mauqa ka faida uthatay hue apne siyasi mafadaat dhondhna shuru kar diye hain aur Hyderabad ka phir ek martaba naam bad naam karte hue usay dehshat gardi ke liye aasaan markaz batanay ki koshish mein lag chuke hain .
markazi sabiq wazeer aur Secunderababad ke rukan parliment bandaru dattatreya ki press conference hai is press conference mein bandaru dattatreya ne na sirf Hyderabad ko dehshat gardi ka aasaan markaz qarar diya balkay Telangana hukoomat par bhi ilzaam lagaya hai aur yeh zahir karne ki koshish ki hai ke Hyderabad mein Islamic state ki dehshat gardi ki karwaiya ho rahi hain aur yahan ke nojawanon ko islamic state mein mein bharti kiya ja raha hai. alawa azeen unhon ne mutalba kiya hai ke director general ya inspector general ke satah ke ohdedaron ki ek team banatay hue is muamlay ki tehqiqaat ki jani chahiye .
Is ke alawa reyasti BJP ke sabiq sadar aur mojooda rukan-e-parliment ke umeed waar Kishan reddy ne hyderabad se teen nojawanon ki giraftari par kaha ke Hyderabad bain-ul-aqwami dehshat gard tanzeemon aur khaas kar ISIS ka ek aasaan nishana hai aur khaas kar hyderabad ke chand makhsoos maqamat se nojawanon ko dehshat gard tanzeemon mein shaamil kiya ja raha hai aur hukoomat bhi khamosh tamashaayi bani hui hai. noujawanon ki giraftari ke chand ghanton baad hi press conference karte hue haqayiq ke samnay anay se pehlay hi BJP leadron ki bayan baziyan phir ek martaba hyderabadi pur aman awam ko pareshan karne aur shehar ke nojawanon ko nishana bananay ki koshish hai .- YTN STAFF