Friday, April 26, 2024
HomeSliderHyderabad par qismat meharban shehar mein 24 feesad zyada baarish huwi

Hyderabad par qismat meharban shehar mein 24 feesad zyada baarish huwi

Hyderabad: Rawaa saal mansoon mein qismat Hyderabad aur uske atraaf ke ilaqon par kaafi meharban hain shehar mein taqreeban 24 feesad zyada baarish huwi hai. Yaha tak ke mangal ko dekha ke shehar mein kuch dino ki musalsil baarish ke baad barishon ka silsila toota hai. Baarish ka silsila rukne ke baad jaha awaam ne rahat ki saans li hai wahi hukkam ke chehre par bhi itmenan dikhai de raha hai kyun ke ek jaanib baarish ka silsila rukne se sailabi halaat qaboo mein aajeigi toh dusri jaanib aabi zaqayir mein paani ki behtar miqdar maujood raheigi jis se peene ka paani ka masla darpaish nahi raheiga. Hukkam ne zyada baarish ke record hone ki tafseelat batate huwe kaha hai ke is saal ka junoob e magribi mansoon Telangana aur khas taur par Hyderabad par zordar raha.

Muhkama mausamiyat ke hukkam ke ba maujib ab tak 1st June se 7 September tak Hyderabad mein 24 feesad izaafi baarish huwi hai. Agar che shehar ke taqreeban tamaam ilaqon mein zyada baarish huwi hai lekin sirf Hyderabad mein 24 feesad zyada baarish record huwi hai. Meradpally ke rihayeshon ne in teen mahino mein sab se zyada 46 feesad izaafi baarish haasil ki is ilaaqe mein sab se zyada baarish 745.6 mili meter record huwi hai jabke aam mausami baarish 509.4 mili meter record hoti hain.

Kayi deegar ilaqon ba shamool Musheerabad Ameerpet shaikhpet Asif Nagar aur trimalgiri mein bhi 30 se 40 feesad tak izaafi baarish darj ki gayi hain. Telangana state development planning society ke Automatic wedar station (AWS) ke aadaad o shumaar ke mutabiq shehar mein agle dino ke dauran kayi muqamat par matoosat se musaladhar baarish ka silsila jaari rehna ka imkaan hain.

Yaha is baat ka tazkira bhi ehum hai ke shehar aur riyasat mein gujishta chand hafton ke dauran musalsil baarish ho rahi hai jis ki wajeh se mehkuma mausamiyat ne kayi ilaaqon mein red alert jaari kar rakha hai. Shadeed aur silsile war barishon ki wajeh se Hyderabad ke kayi ilaaqe zaire aab aachuke hain aur jabke nashibi ilaqon mein sailabi soorat e haal se awaam pareshan hain.