Hyderabad: Riyasat Telangana ke tamam azlaa jahan corona ke koi naye mamlaat samnay nahi aarahay hain wahein dar-ul-hukoomat Hyderabad mein corona ke naye mamlaat mein rozaanh izafah ho raha hai aur aisi khabrain bhi mil rahi hain ke Hyderabadi awam nah sirf raat ke curfew par sakhti se amal nahi kar rahay hain balkay wabai marz ki rokk thaam ke liye jari kardah hidayat par bhi sakhti se amal nahi kar rahay hain. Hyderabadi awam ki laparwahi aur corona ke mamlaat mein izafah ke baad aisa lagta hai ke markaz ki nazar Hyderabad par markooz hochuki hai aur reyasti hukoomat ko hidaayat didi gayi hai ke wo raat ke curfew par sakhti se pabandi ke iqdamaat kere.
Wizarat dakhla ( MHA ) ney reyastoun se kaha hai ke lockdown 4.0 ke nafez hune ke bad riyasatoun ke tamam daira ikhtiyar mein ghair zurori sar garmioun ke liye raat ke curfew ko sakhti se nafiz kiya jaye. Markazi riyasat dakhla ke secretary aje bhala ney tamam reyastoun ko likhay gaye maktoob mein kaha hai ke media Reports aur deegar zaraye se ye ittila mil rahi hain ke lockdown ke liye MHA ke rehnuma khutoot par amal aawri mein mukhtalif maqamat par khilaaf varziyan ho rahi hain, Corona ki wabayi bemari ke nateejay mein 31 May tak lockdown nafiz kiya gaya hai.
Raat ke 7 bajey se subah 7 bajey ke darmain tamam ghair zurori sar garmioun ko roknay ke liye raat ki curfew ya pabandi ko yakeeni bananay ki zaroorat MHA ke rehnuma khutoot ka ek ahem ansar hai. Night Curfew laazmi qarar diya gaya hai taakay ye yakeeni banaya ja sakay ke loog masharti faaslay par amal peda hon aur Infection ke phelao ke khatrah ko barqarar rakhen. Isi munasibat se muqami hukkaam ko raat ke curfew ke nifaz ke liye qanoon ki munasib daf-aat ke tehat, Apne daira ikhtiyar mein poori terhan se ehkamaat jari karne ki hidayat di gayi hai aur muqami hukkaam ke zareya un ehkamaat ki sakhti se pabandi ko yakeeni banaya jana chahiye.
MHA ne reyastoun se Containment Zone ko munasib andaaz mein batanay aur un Zones mein qaboo panay ke iqdamaat ko mo-asar andaaz mein nafiz karne ka mutalba kiya hai ta-ke COVID-19 ko phelnay se roka jasakay. 17 May ko jari kardah rehnuma khutoot mein reyastoun ko zone ke faislay mein kaafi had tak narmi di gayi thi aur Buses, Auto Riksha aur Taxis ko un ilaaqoun ke alawa tamam Zones mein chalne ki ijazat di gayi thi. –YTN STAFF