Monday, May 6, 2024
HomeHyderabadHyderabad NIMS ne ek aur tareekh raqam kar dia

Hyderabad NIMS ne ek aur tareekh raqam kar dia

Hyderabad: Nizam Institute of Medical Science ( NIMS ) ne ek aur tareekh raqam kar di hai jaisa ke dawakhana Cobas 8800 RT-PCR tashkhisi alaat nasb karne aur usay istemaal karne wala janoobi hind ka pehla dawakhana honay ka aizaz haasil hogaya hai aur is asri machine ke zareya Hyderabad ke NIMS mein ab yomiya 3 hazaar Covid–19 test le sakta hai.

Asri Machine ko nasb karne aur usay pehli martaba istemaal karne ke aghaz kay waqt yahan wazeer sehat Etala Rajender ne tashkhisi laboratory jis mein is machine ko nasb kiya gaya is ke sath Cobas 8800 ka iftitah kiya. Reyasti hukoomat ne NIMS mein aala satah ke Lab ke qiyam ke liye 6 crore rupay ke qareeb sarmaya kaari ki hai.

Roche Diagnostics ke zareya tayyar kardah Cobas 8800 operating lachak aur taiz tareen nataij mein behtari laane ki salahiyat rakhta hai. Is asri machine ki madad se 8 ghanton mein 960 test aur unkay nataij haasil kiye jasaktay hain.

Unhoun ne kaha ke Covid-19 tajzia karon ke ilawa Laboratory jigar, Gurday aur dil ki pewand kaari ke liye zaroori paicheeda tashkhisi test karwanay mein ahem kirdaar ada kere gi. Dawakhana mein ghair corona mareezon ki sehat ki dekh bhaal ki sahuliyaat aur transplant ki sahuliyaat ko mazeed 15 din mein dobarah bahaal kiya jaye ga.

Jo khidmaat Molecular tashkhisi Lab mein dastyab hon gi un mein RT-PCR test, Jadeed Microscopy, Flow Cytometry test, Apheresis machine systems, DNA  sequencing machines, ElISA readers, Cell Cculture Labs waghera shaamil hain.

Chief Minister K Chandrashikhar Rao ne wazeh tor par hidaayat di hai ke corona mareezon ko ilaaj ki har mumkin sahuliyaat ki farahmi ko yakeeni banayen. Wazeer ne kaha hai ke un ki hosla afzai ki wajah se hum sirf is Laboratory ke qiyam ke liye 6 crore rupay ke qareeb kharch karne mein kamyaab hogaye hain. Hum bohat jald Hyderabad NIMS ke liye outpatient block ki taamer ka kaam shuru kar dein ge aur sath hi sarkari dawakhanon mein darja chaharum mulazimeen ki tankhwahon mein izafay ka mansoobah bhi tayyar karen ge.

Roche Diagnostic ke MD Dr Shravan Subramanyam ne kaha ke Cobas 8800 wabai amraaz ke waqt ya is se agay Laboratories ko darpaish taqreeban tamam challenges ka azaala kari gi. Unhoun ne kaha woh Automation ki wajah se kam waqt, Testing ki karkardagi ko barqarar rakhnay aur Lab ehalkaron ki salahiyat ko behtar bananay ke liye ahem saabit hoga.